Jokhay
Anjaan
[Chorus: JANI]
Waqif hakikat se fir bhi anjaan hai
Ashqo se beh jaaye ret ka makan ye
Zamane se mai baaghi kyun munafiq hun
Mai daagi hun mai bhula apna maazi hun
Fir ho raha mujhse raazi tu
Mai mushkilo ka aadi hun
Kehdun mai tujhko kaafi kuch
Ye dil bayabaan hai

[Verse 1: JANI]
Mai meer ka dard hun, mai iqbal ka khwab hun
Wo umeed ki kiran ek, bus thoda sa hazir jawaab hun
Kaise ghont'te gala is kala ka, zamana jala tha
Bata toh kara kya, kya karun
Sila kya likhta jab bala kya fir bhi ni ban sakta marke mai talhah sa
Zindagi safar ye kehna aasan tha
Kya ladta tujhse mai khud se bezaar tha
Wo jashan manate fir meri haar ka
Bhale mat padhiyo is cabel pe fatiha
Wo apne anjaane na hote
Toh likhe ye gaane na hote
Aur tum bhi deewane na hote
Agar hum mashoor-e-zamane na hote
Kala hi kya jisse ho na mutasir
Wo ulfat hi kaisi jo banade kaafir
Wo safar hi kya jo bhatke na musafir
Hum Khanabadosh kaha jaaye aakhir?
Darr nahi hai khatro se sar kholе
Patthro se khoon lage kapdo pe, roya badi kabro pе
Dil bade sapno se, lad pade apno se
Aankhon dekha haal mera kalam bhare
Sukh mann hai
[Chorus: JANI]
Waqif hakikat se fir bhi anjaan hai
Ashqo se beh jaaye ret ka makan ye
Zamane se mai baaghi kyun munafiq hun
Mai daagi hun mai bhula apna maazi hun
Fir ho raha mujhse raazi tu
Mai mushkilo ka aadi hun
Kehdun mai tujhko kaafi kuch
Ye dil bayabaan hai

[Verse 2: Nabeel Akbar]
Aaj kal rahe dil ye udaas mera
Saath chal mera dil ye awaaj dera
Waise naam mera lete toh kaafi hai
Chand log dil se puchte jo haal mera
Baadal sirf kaali ghata jaisa
Bina dard zindagi ka maza kaisa
Waise hum toh shuru se hi baaghi hai
Maine maut ko khud apna pata bheja
Low-key magar dhund lete ab fans ab
Camera nikale fauran dil se bole hands up
Police lagi peeche leke hand cuff
Charso bees magar log dete mad love
Sabki umeed ke mai kar dunga set sab
Sochta kabhi ki mai chhod dun kya rap ab
I don't wanna leave itne saal tujhe dekar
Tere bin jeene se marna hi behtar
Star waala nahi asli ka rapper
Faad du mai tujh jaisa nakli ka rapper
Or pyaar mera art mere jaane ke baad bhi karenge mujhe yaad
Ki mai nasli tha rapper
Muh se hagte kare khali shit talk
Mera writer tera aadha shit block
Mere gaano pe teri baby ki tiktok
Mere bina poora kaise hota idher hip hop
Mera raaz rahega bina taaz ke
Mera aaj banega itihaas ye
Jaan daali game me, game meri jaan
Tujhe bhukh khaali fame ki tu maan ya na maan
Teri ek ni jabaan na koi deen na imaan
Toh fir tu kam nasal toh fir tu badgumaan
Kitna kama lega banke beimaan
Ek din tune bhi deni hai rabb ko hi jaan
[Chorus: JANI]
Waqif hakikat se fir bhi anjaan hai
Ashqo se beh jaaye ret ka makan ye
Zamane se mai baaghi kyun munafiq hun
Mai daagi hun mai bhula apna maazi hun
Fir ho raha mujhse raazi tu
Mai mushkilo ka aadi hun
Kehdun mai tujhko kaafi kuch
Ye dil bayabaan hai

[Verse 3: Talhah Yunus]
Likhe hai gaane bade mai deewano se apne ye kehta raha
Likh diye afsanay bade magar kaagzo pe lahu behta raha
Mehmano ko sehta raha, ghar meri khushbu se mehka raha
Kahaniyan sun sun mai behka raha
Jab asal me dekha toh dehka laga
Dikhawe ki duniya se aajiz hun, ghoot raha
Jaise jo barse wo badal hun
Baithe umeedo me gusse me aake rahu jane
Munafiq munkir hun phir bhi ghar pe daawat du
Kisse gila karun, kisko bura kahun?
Kisko mai jaake ye kisse bayan karun?
Kehte hum dushman tere mai dua karu
Lafzo ke kaidi hai ghar se reha karu
Kalakaar bane veere par insaan nahi
Mujhe malum nahi hai keemat apne naam ki
Maal bhut hai par karne na de chaanbin
Slumdog millionaire bane fire gandhi
Sarhad paar mere yaar puche haal mera
Koi sage yaar ni manaunga mai saal girah
Chukhe dekha baal mera aake khud hi gaal dera
Dekhe wo misaal meri jaise mai misaal deta
Andaaz-e-bayan ye alag itna
Tasveere banata raha
Chahe apne bhi muqalif ho
Gaane toh gaata raha
Mai mirza mai galib bhi jaise
Ilam me izaafa raha
Lad lenge bina talwaro ke
In haatho se waada raha
[Chorus: JANI]
Waqif hakikat se fir bhi anjaan hai
Ashqo se beh jaaye ret ka makan ye
Zamane se mai baaghi kyun munafiq hun
Mai daagi hun mai bhula apna maazi hun
Fir ho raha mujhse raazi tu
Mai mushkilo ka aadi hun
Kehdun mai tujhko kaafi kuch
Ye dil bayabaan hai