Jokhay
Khata
[Verse 1: Shareh]
Ghalat faislay, milay buray log
Mere faiz say, jalay kuray log
Girti waqt ki rayt kese khulay log
Mayl jol roz phr bhi bhoolay log
Dastak ruki kab tak?
Gham k paharou mai jaga hu shab tak
Alfaaz hi nahi tou hilay nahi lab tak
Katputli si chaal, dikhata bus kartab
Ab matlab hi dhoondne chaltay marhalay
Mai gaata hu ganay tou dikhtay sar hiltay
Wou kartay hai pyaar shayad tabhi hai miltay
Kuch pathar dil walay tou kese pighaltay
Yeh raaz, kabhi hua faash nahi
Itnay dekhe chehray farq parhay ab kuch khaas nahi
Ankhou par patti, band ati awaaz nahi
Mehsoos houta sab lekin houta ehsaas nahi
Yeh kaghaz iss qalam ka talib hai
Puch jakay kaun yaha pay ghalib hai
Dhunn mai magan shareh duniya say la ilm hai
Duniyadari bhoola bilkul bhoola apnay baray mai
Phr bhi maine qaim rakha yaha pay apna
Zor shor
Awaaz teri band tera
Sore throat
Aur mera single track kre
Tor phor
Hassad tum mai bhari andits
For sure
Mujhse seekh akay lay tu
[Chorus: Jokhay]
Hai mushkil yaha
Koi samjhey kaha
Wou murda hi theek
Hum khud k gawah
Kiya kuch kar chuka
Kiya meri khata
Hum rahay hai seekh
Tu phir bhi khafa

[Verse 2: Zas]
Sotay na tum mujhpe halki hoti agar neend
Hotay khuwaab pooray, pockets hoti agar deep
Na karta maaf hota teri tarah neech jo
Na hota dil saaf lekin chahiye mujhe peace
Khuwaab tou hazaar pooray karna mushkil
Maan leta haar lekin main nai buzdil
Seekhay haar k tou phir tootay kyun dil
Aye jo bhi doubts wou kiye main ne khud kill
Lagay dunya khilaaf mere
Mеre apnay nai sath mere
Chand loug awaaz dеte
Bas wahi mere sath kharay
Kiya kaafi grind, nai hay diya khudkou time
I just wanna get away
Bananay mujhe mil, jiger karna nai hay chill, kitni zimedaariyon that I dont wanna face
Par Im bound to, hotay hou tum khush jab main gaun yun
Sochun I should write songs about you
Par nai likha jata, par someday I will
Beshaq lafz lagen ziada
Barhta bojh kartay adha baant lete sab
Team rehti sath, waqt kaat lete sakht
Hun main waqif hay tou mazil abhi door
Par jo khudse kiye waday wou tou pooray karnay sab
[Chorus: Jokhay]
Hai mushkil yaha
Koi samjhey kaha
Wou murda hi theek
Hum khud k gawah
Kiya kuch kar chuka
Kiya meri khata
Hum rahay hai seekh
Tu phir bhi khafa

[Verse 3: JANI]
Mera yeh maan tha
Her shakhs ko lazim ek hadsaa
Esi bheed me houn me lapata
Duniya se Ghafil besaqta
Mene likhi zindagi likhi jo beeti
Wasila bnti Mosiqi
Mene likhe waqat, halaat, Zulm, wafaat
Wo jabzaat Manzil door wo they na pass
Per iske baad kiya
Wohi Umeed ka karwan
Sapno k sehra mein
Mera ek shehr abaad tha
Me ginta houn taare aur likhta houn ganey
Phr socho yeh kiya ilm baksha he khuda ne
Me Jhukjaon sajdon me prhne Shukrane
Me soota houn rkh ker kafan ko Sirhane
Mere sapne hein arsh k per me chalta houn khaak per
Jeena seekha he yeh Khuhishaat maar ker
Wo sunte mjhe hawi unke dill o dimagh per
Me thehra adeeb me Likhoun dillon me jhank ker
Me jhelun hi nahi toh khdko kahoun mard kese
Me likhoun hi nahi toh bayan kro dard kese
Qalam bebak mera kese pher yeh Hud me reh
Khanabadosh hum idher halaton ki Zud me they
[Chorus: Jokhay]
Hai mushkil yaha
Koi samjhey kaha
Wou murda hi theek
Hum khud k gawah
Kiya kuch kar chuka
Kiya meri khata
Hum rahay hai seekh
Tu phir bhi khafa