[Verse 1]
Ye kaaghaz qalam bas ek Mera dost lgta, Leke betha mein Akelay krne Dil ka bojh halka, Ab mere har jumley pe krtey log charcha seedha koriyon ke bhao se ab laakhon ka ek parcha, sitaara banke sab ki aankhon mein chamakta pr ye dikhta nhi k kese zinda saalon se wo larka in ko kia maalum? Kal tk tha mein na-maalum lawaaris isi shehar ki trh Kitne toray qaanun, tmhein kia maalum Kitna apna Baha khoon, Kitne apnay khodiye pr ab tk na Mila sakoon, tmhein kia maalum? Kia tm mjhe jaantay ho? Kia Meri trh tmbhi pareshaan se ho? Kia Meri trh tm bhi sb se bhaagtay ho kia tm Meri trh Bethe tnha raatein jaagtey ho? Tw phir kuch bolo Zara toro ye khaamoshi kia tmhari bhi Zindagi hui shikaar saazishon ki? Baatein dilon ki smjhe wohi jispe beeti ho, Jo Kisi keliye kachra Lage Sona wohi Kisi ko, tm Meri ho ya na ho ye tm mjhse aake khud Kaho tm apna Ghar basalo mein tw Chahta k tm khush rho, tmhein khoney ka nahi kbhi meine Socha tha, mjhe laga koi apna sa mjhe tmpe bharosa tha, tmharey Baad nhi eitmaad mjhe Kisi pe hoga mein bhi tw hun phir insaan, bus ek putla ghaltiyon ka jise Le doobi mohabbat, dolat shohrat Nasha aurat, ooncha rutba shaan o shaukat bhula bhatka betha lockup mein, daaley jaali muqadmey nhi milta kch bhi muft mein, ab bechun wohi dukh apnay, bachpan se hun moo phat or ghareeb bhi tha ooper se tw kaafi hotay they masley pr bhookay marnay se behtar mein goli khaa k mar jaon, un mein se nhi mein Jo apni baaton se muqar jaon aakhir kaar Dil ka Haal apnay kese tmhein samjhaon
[Chorus]
Esa lgey jese chalrha mein baadalon mein, qismat jaati badal kese tukron pe Kuch kaaghazon k, Ae Rab mjhe sabar de khaali jholi phir se Bhardey, lartey martey Terey dar pe betha Tere aasron
Esa lgey jese chalrha mein baadalon mein, qismat jaati badal kese tukron pe Kuch kaaghazon k, Ae Rab mjhe sabar de khaali jholi phir se Bhardey, lartey martey Terey dar pe betha Tere aasron
[Verse 2]
Shumaar qaatilon mein lagi dafa 302, mein kese tmse milta Tum smjhti nhi thi cheezon ko, bhugat rha mein apnay kiay ke natijon ko, ab kese mein nikaalun apnay bhejey se in cheekhon ko, mein Akela nhi hun jisko aatay yaad haadsay, mukhlis itney bachay k mein ginlu bas ek haath mein, Kuch logon ko Herat hoti Naam Mera jaan k, or Kuch bewaja mein bangaye dushman Meri jaan ke, isse prta farq nhi k purana jaannewaala lrka ab ye wqt h esa k bharosa bhi kamana prta, Hoga bara Naam Saath baray ilzaam, haske milta saaray mgr peeche ye zamana jalta, Kuch mjhko kaafir smjhein jese I got no religion, ab aadhi Raat milney aatay mjhko politicians, kia Karun purana mjhpe qarza bhi tw Bhai ka, mein sochun chorun sb Kuch pakrun ticket ek Dubai ka, nhi dekhun mur k peeche kabhi, shuru Karun nayi Zindagi, gaayab hojaon ese k dubara phir dikhun na kabhi, mein koi khooni nhi Meri ye Majburi Sahi sari baatein smjho tm ab esa bhi zaruri nhi, aksar lgta mjhpe ab tk asar Qaid ka hai, Good Die Young tw phir I Guess I'm the Bad Guy