Jokhay
WAQT
[Verse 1: Jani]
Abhi bhi wohi kher khuan hain?
Kya jo eent jorein kal, ab woh sheher kahan hai?
Miskeen lautain Asleh ke zor pe ap zinda hain?
Bachgae hain? Samjhe ye mojza hai
Inke aba o ajdad se na mila
Ye wirasaton me sheher
Sawal uthta hai haqdaar kon?
Inka tarafdaar kon?
22 sala nojawan, marun dardnaak maut
Toh wo jurm ki gully ab ek sheher bangayi
Jo dikh raha tha qatra lehar ban gayi
Woh peene se pahle alag thi
Ab saqi halak se utar ke zehar ban gayi
Zalim chupe huye muzlimo ke kafile mein
Khauf fiza me mila hai kaise saans lele
Tere zameeni khuda khud uske asre pe
Haq nahi mara gaya najaiz? jawab dede
Wo Miskeen, woh gumrah woh faqey me
Lahu bahe ab is shehar ke her khake se
Isi inquilab ke naam per baante hoye
Wohi ghulami ki muhar tere mathe pe
Kapde naye hein woh mouzoun purane
Tum bhi to gaate ho dukh bhare gaane
Aansu se bheega hai daaman woh kahte hai
Kyun bhadha dete ho gham ke paymaane
[Chorus: Jokhay]
Khwaahishat aksar puri na hui
Behte ashqon mein doobe kat’ti zindagi
Faraar chahte apne aap se hi khaar khaate
Par khwab apne ab adhure hi sahi
Kyun…? teri duniya mein meri na jagah hai, kya meri khata?
Kyun…? Thamm sa gaya hai, waqt kya wajah hai? Kya teri raza?

[Verse 2: JJ47]
Gun rakhi usne nishane pe khopdi
Shayad maut likhi aaj bachi 2 ghadi
Yaad aaye ghar-bar-dost-yaar-naukri
Maa to phir maa hai wo ghar bethi ro padi
Use kya pata kishmat ke khel kya
Rakhti saja ke phalon ki wo tokri
Par beta uska aaj nahi lautega
Wo mara jung ladte huye bahut badi
Charon taraf bas qatlo gharat
Yahan jaan bachana bani maharat
Neechi sochein, unchi emarat
Karne baithe buzdil tijarat
Phande ye haatho mein leke jo ghume
Shehar ki hawa mein dum ab ghut-tey hai
Insaf bana kitabon ki raunak
Insaano se behtar muhafiz kuttey hai
Na ab noor na jahan hai
Na ab woh baatein wazni
Khoon garam ho kya naghmon se
Jab dil mein rahi hi na hubulwatni
Kya kare jeene ki baatein
Dil zakhmi to phir khoon ye thokey ga
Pait bhare mehfilon mein bethe
Bhooke se wo bhi kya roti puchega
[Chorus: Jokhay]
Khwaahishat aksar puri na hui
Behte ashqon mein doobe kat’ti zindagi
Faraar chahte apne aap se hi khaar khaate
Par khwab apne ab adhure hi sahi
Kyun…? teri duniya mein meri na jagah hai, kya meri khata?
Kyun…? Thamm sa gaya hai, waqt kya wajah hai? Kya teri raza?