Nanku
Jabtak
Saath chalna hai
Tabhi toh sach banaya hai inhone
Bekhabar khud se tabhi

Yah sab chalaya hai inhone
Jabtak hain kehte nahin
Sabkuch hi mein hum paaye jaate
Kaid kiya mujhko kamino ne
Apne inn aksharon mein
Saath chalna hai
Tabhi toh sach banaya hai inhone
Iss jahannum ke parey
Ek ghar banaya hai jano ne
Jabtak hain kehte nahin
Sabkuch hi mein hum paaye jaate
Kaid kiya mujhko kamino ne
Apne inn aksharon mein

Saath jo aye the vo laut gaye ghar
Saans bas andar bahar baant rahey ab
Kinaare pe jo kashti lagi hai
Usmein chhed hai, chhed hai
Humein khed hai, khed hai
Kinaare pe jo kashti lagi hai
Usmein chhed hai, chhed hai
Mujhe khed hai, khed hai
Bimaar ke aansu aag mein raakh hain
Saans bhi cheekhe, past halaat hain
Halaat jo bigde hain
Simte hue jo meri baaton mein shabd chhupe hue hain
Saanp ke daant mein zeher kharab hai
Sapno ke desh mein apne hazaar hain
Hazaar jo rupiye mile the
Vo toh ma ki jeb mein mere karz chhupe hain
Karzey mein, karzey mein
Mujhe andar yu kyu dabaye
Mann mein, mere mann mein
Mera mannva yuh lalchaye
Andar raaz chhupe hain
Bahar baat dabi hai
Andar raaz chhupe hain
Bahar baat
Jabtak hain kehte nahin
Sabkuch hi mein hum paaye jaate
Kaid kiya mujhko kamino ne
Apne inn aksharon mein
Saath chalna hai
Tabhi toh sach banaya hai inhone
Bekhabar khud se tabhi
Yah sab chalaya hai inhone
Jabtak hain kehte nahin
Sabkuch hi mein hum paaye jaate
Kaid kiya mujhko kamino ne
Apne inn aksharon mein