Nanku
Sabkuch
Kya kuch bhi kaafi hai?
Kaisi badmashi hai, socha maine
Asaan hai gum ho jaana

Mushkil khud ko samjhana
Kya tu ek saathi hai mera?
Kyu hum jazbaati hain?
Maine kaha na, itna kuch baaki hai
Abhi toh itna kuch baaki hai

Aya hoon iss jag mein jabse, sabkuch hi anjaana hai
Jaanu main sabko iss jag se ek na ek din jaana hai
Bhaati na ye baatein ab jeena jo dil ne jaana hai
Sabkuch hi sunna isko, sabkuch hi isko gaana hai
Sabkuch hi isko gaana hai

Chaahu zindagi se kuch bhi nahi
Jaane kahan main khada, jaana kahin bhi nahi
Kitno ki chaine utri hain, kitni biki
Jo bhi karu main galat, sahi kuch bhi nahi
Kabhi socha na tha sapne bhi hote sach
Chhoti chhoti baaton se ye kavita main dunga rach
Kuch bhi pata na mujhe, tujhse chhipana mujhe
Khud se khafa hai launda khud se hi raha bach
Ho raha hai jo bhi aas paas mere hone do
So raha hai jo bhi na jagao, bas sone do
Sochu main jo keh raha na jaane kya vo sun rahe?
Ro raha hoon baitha na bachao, mujhe rone do
Duniya sateek, na farak hai bas ghoome gol
Meri na chalegi, baat ho jaye na damadol
Ghadi ye ajeeb, sabhi ke naseeb, soch voch
Zyada na tu, keh rahe hain sab jo, tu vo hi bol
Chuda hoon zaroor lekin choda mujhe tumhi ne
Saara jag bhool main chhipa baitha hoon mujhi mein
Sakta na bhaag, atak raha main bhatak raha hoon yahan
Ghoomu roz, dhundhu khud ko main tujhi mein
Ghoomu roz, dhundhu khud ko main tujhi mein
Kya kuch bhi kaafi hai?
Kaisi badmashi hai, socha maine
Asaan hai gum ho jaana
Mushkil khud ko samjhana
Kya tu ek saathi hai mera?
Kyu hum jazbaati hain?
Maine kaha na, kaafi kuch baaki hai
Abhi toh kaafi kuch baaki hai

Aya hoon iss jag mein jabse, sabkuch hi anjaana hai
Jaanu main sabko iss jag se ek na ek din jaana hai
Bhaati na sab baatein ye dil to ab bhi bachkana hai
Sabkuch hi sunna isko, sabkuch hi isko gaana hai
Sabkuch hi isko gaana hai