Nanku
Doori
Tujhse meri ye doori
Hai ehsaas bakhoobi, hai ehsaas bakhoobi
Tere mere milan ko hi toh ye duniya hai poori
Ye duniya hai poori

Ye hawa, ye pakshi, ye taare saare mere mitr hain bachpan ke
Kuch baatein ho sakti hain
Teri aur meri duniya ek dusre ke saath hi ho sakti hain

Jaanam tum sun lo agar toh
Kehna chahta hoon tumse ki main hoon tumhaare liye
Tumhaare liye
Jaanam parwah agar kar lo
Kehta hoon tumse ki main hoon keval tumhaare liye

Vo lamha jab hum sab saath honge
Humaare dil ek dusre ke paas honge
Ye hawa bhi shayad phir saans lage mujhe
Aisa lagta hai hum kaafi khaas honge

Ye sama, ye dharti, ye baadal saare mere mitr hain bachpan ke
Kuch baatein ho sakti hain
Teri aur meri duniya ek dusre ke saath hi ho sakti hain

Jaanam tum sun toh lo main
Padhta hoon ye kavita dil se tumhare liye hi likhi maine
Jaanam tum sun toh lo main
Kehna chahta hoon tumse ki main hoon tumhaare liye
Tujhse meri ye doori
Hai ehsaas bakhoobi, hai ehsaas bakhoobi
Tere mere milan ko hi toh ye duniya hai poori
Ye duniya hai poori

Sun raha hoon jo bhi
Bas vo hi reh jaata hai abhi
Aur kuch nahi

Gum jaata hai kahin
Vo sab jo ghul na paya hai mujhmein abhi

Sabkuch ki kalpana mein
Reh jaata hoon yahin
Reh jaata main yahin
Tujh tak aane ki ye jo chaahat hai
Samajh na paya, na paun kabhi

Staaron ki tarah ho tum bhi
Dikhti ho mujhko keval andhere se hi
Keval andhere se hi

Tujhse meri ye doori, hai ehsaas bakhoobi
Hai ehsaas bakhoobi
Tere mere milan ko hi toh
Ye duniya hai poori
Ye duniya hai poori