Aankhein woh baatein
Teri mulaqatein
Mere zehan se ab jaaye na
Khwaabon mein jaake
Hans ke muskura ke
Mere zehan se le jaaye jaan
Tere dil ki kahaniyon ki main
Banu raat deewani re
Sochun tere bin agar zindagi
Behde aankh se paani ve hey
Baahon mein baahein
Teri yeh aahein
Mere hokar yeh
Reh jaayein haan
Aankhein woh baatein
Terе sang raatein
Mere zеhan se ab jaaye na ho
Kaisi woh muraad thi jo aaj jal gayi
Pariyon ke zehan mein jo aag ban gayi
Dekhi na thi sapno khayalon mein kabhi
Aisi zindagi se mulaqaat ban gayi
Teri aankhon ki lehak ko na jaane
Na jaane kaisi raat mill gayi
Na jaane kaisi raat mill gayi
Na jaane kaisi raat mill gayi
Aankhein jhukti chubhan mein
Ashqon mein magan yeh
Kaisi teri saansein chadh gayi
Ho sakhiyan dekhe anjuman mein
Soche sab mann mein
Kaisi kaisi baatein ban gayi
Ho teri baaton ki chahak ko na jaane
Na jaane kaisi raat mill gayi
Na jaane kaisi raat mill gayi
Na jaane kaisi raat mill gayi
Oh ri chidiya na tujhe ri
Kyon yeh duniya bhaaye re
Oh re panchhi kyon hamesha
Baithi munh latkaaye re
Teri aankh jo namm hain
Inmein jo gham hai
Chhod ke subah pe kar yaqeen
Ho yeh jo jhoomta saawan hai
Meethi jo pawan hai
Teri hi muskaan se hai bani
Ho teri baaton ki chehak ko na jaane
Na jaane kaisi raat mill gayi
Na jaane kaisi raat mill gayi
Na jaane kaisi raat mill gayi
Sochi thi jo raat woh aaj mill gayi
Dhuein ke baras mein barsaat mill gayi
Dekhi thi jo sapnon khyalon mein kahin
Kushiyon ki kiran woh aaj mill gayi
Yeh zamaana besharam hai
Na iska dharam hai
Kyun dhoondhe hai tu ismein bandagi
Oh tere saath tera mann hai
Dil ki dhadkan hai
Aage badh ke jee le zindagi