{Enkore}
Hum bas jaante mehnat hum na jaante intezaar
Jaante duniya na jaante imtehaan
Chhu ke chupti khushiyaan bhi laapata
Par jaisa dhalta sooraj waise dhalta chaand
Dhalta chaand, ye dhalta chaand
Kirnon ki dekhu raah
Roshni ki taras lage ab chaubees ke upar hue ghante beshumaar
Hue kandhe bhi kamzor, uthaate jitna load
Mai rattke bas kehta unko jo bataate mujhko log
Like, its a reason for being mat lena dil pe
Pehle single se jaanta na rukhna hai gir ke
Uthna hai fir se
Aur udd ke nikalne ki koshish mei kam se kam apne pankh se ni bhidte
You need it all, so love it nourish and feed it all
The media tell us we aint enough since we were born
Your boys say you fight or feel like its either or
But what the fuck is worth fightin for if you cant feel at all
Mushkil ye rakhna yaad
Struggle hai har dafa
Jab poore do saal lage ek lambi raat
Par de tu apna saath
And hope, naye din ki hogi nayi baat
{Hook}
Par hum bas jaante mehnat hum na jaante intezaar
Jaante duniya na jaante imtehaan
Chhu ke chupti khushiyaan bhi laapata
Par jaisa dhalta sooraj waise dhalta chaand
Dhalta chaand, ye dhalta chaand
{Yashraj}
Wo dekhe chaand mein daag
Mein dekhu roshni
Baje the raat ke chaar
Mujhe koi hosh nai
Band hona chaar deewaar jab tha dosh nai
Par toot chuka banne mein hazaar baar
Ab khauf nai
Kala ko ankon mein
Inqalaabi ko dango mein
Logo ko dekha rangon mein
Ummeedon ki patango mein hai lipte kitne sapne wo kati ungliyon ke beech
Bachaane khudko, hum hote kharch, no receipt
Haan likhte kaviyon ki vaani, tune suna nai
Khade the tere hi saamne tune chuna nai
Par aadhi mushkile banaayi meine khudse hi
Aaina bana dost, ab karunga jaake khud sahi toh
Meri jaan pehle aake tu samajhle
Soch wo zamaane ki, jab dadu sunte ghazalein
Chahiye unko ghaas jab ugaane lage fasle
Mein masalta jeet ko toh kya hai saali masle
Fir bhi
{Hook}
Hum bas jaante mehnat hum na jaante intezaar
Jaante duniya na jaante imtehaan
Chhu ke chupti khushiyaan bhi laapata
Par jaisa dhalta sooraj waise dhalta chaand
Dhalta chaand, ye dhalta chaand