Yashraj
VN1 (SEEKH)
Suna tha 16 saal mein jo sabpe bhadka
Wo bhi 16 sunnke bola
Tu nai kal ka launda
Tu hai kal ka ladka
Sunnke ye mein sar nai chadhta
Kyu ki jis gully se pohocha aasmaan
Paas mein mera rasta
Middle class soch
Baitha middle class coach Mein
Nibhaane farz saare
Wo bhi karzon ke bhoj mein
Par hum toh paagal hai
Bas gaane banaate hai mauj mein
Aur likhke kahaaniya
Nikle saare khudki khoj mein
Par mile thode log hai, karte dil se pyaar
Wo bhi aise saal
Nikle na hai ghar ke bahar
Jo jaali taaliyan suni hai Meine sansad mein
Utni sachi taaliyaan zoro se chaahta concert pe
Wo din, chhote bhai ne dekha TV par
Badhaata volume,Saare kehtе ki dheemi kar
Wo naachne laga, aur seedha yaad aayi bachpan ki
Gaana tha aadhe, par hum poore thе sanki
Besharmi
Na hai chhodi Meine aajbhi
Kyu paalu dushmani, banana kaam kaaj hi
Wo bole chamkega tu, wo taaro ko dekh
Mein bolu dikhta na hai farak
Kiya din raat ek
Zindagi chale kaafi theek
Kabhi na maangi bheek
Haath mere faile kyu ki lagaana tha gale
Par wo chaahte the ghotna
Toh Meine bola seekh
Aur khudko kehte rehte seekh
(VN)
Tu seekh apne haadson se
Akela khada tu aur saamne wo 700 hai
Bure sapne toh takiyon saath so gaye
Saanp Sungh ke khada tha jabhi saath Kho gaye
Abhi saare saathmein salaam karte jaise hum koi Sahab ho gaye
Abhi saare saathmein salaam karte jaise hum koi Sahab ho gaye