Yashraj
Do Khidkiyaan
Banna uske jaisa, maanta nahi logon ko (Main nahi maanta)
Ummid rakhne jitna jaanta nahi logon ko
Yeh rishte bante patte, kyun samay-samay se khichte?
Isliye jaane-anjaane mein main kyun baandhta nahi logon ko (Kyun?)

Daant dono ko jo kaat’ta aur kat’ta bhi
Baat dono se jo baant’ta aur bant’ta bhi
Haan, seekhna hai sabse, phir bhi bante kyun hain badtameez?
Yeh sapno ka hai khatkhataana, raat ko de thapthapi

Hai kuch kami toh lagti jab bhi zindagi ko jeete hum
Lagta hum sabse aage, asal mein sabse peeche hum
Mehnat ka fal hai dikhta jab jadon se gyaan seenche hum
Woh kheechein humko peeche, sochein girein seedha neeche hum, toh dheeth hain hum

Uthna aadat si hai (Sach)
Dard saare likhna toh ibaadat si hai
Woh poochein, “Kab tak chalega yeh sab?” Yeh mere sapne
Yeh tab tak chalega jab tak sab hote apne

Band kamron ke khaab, do thi khidkiyaan aur ek kitaab
Band kamron ke khaab, do thi khidkiyaan aur ek kitaab

Jo bhi saare karein peeth peeche baatein
Kheechein neeche aake
Woh bhi toh bakne ke mauke na chhodein (Na)
Hum bhi toh thakne ke mauke na chhodein
Yeh lambi hai daud, toh kabhi na aati yeh chaud
Aur liya hai kabhi kuch bheekh mein nahi
Jaanta hai tu bhi ki tere campus waale rapper
Mere waale league mein nahi
Naseeb mein nahi hai mera wala flow flow (Mera wala flow)
Tu jaanta nahi hai bro, gig ke baahar
Jo 16 pe 16 deke banne lage the kitne dost
Kitne log jo jaanein tujhe tere kaam se pehle aur naam se baad
Yeh so called “OGs”, tabhi toh mujhe unka yahan naam nahi yaad

Main maanun ki tu yahan independent (Toh?)
Toh gaane mein master nahi kya?
Paise toh diss wale video mein, halka disaster nahi kya?
Main karta nahi ego ki baat
Warna udne lagegi yahan sabki khilli
Hum poles apart, ye East or West
Jaise chalta yahan Bombay, Dilli

Par yeh sach nahi, gaane banaane toh rehte sab touch mein hi
Aayi jo rut nayi, jo jaante woh jaante main likhta sab sach bhai
Haan, bolna hai bahut kuch, par muh se niklega aaj kuch nahi
Haan, bolna hai bahut kuch, par muh se niklega aaj kuch nahi
Bas dar yahi baat ka lagta hai bro, ki log sunenge kya?

Band kamron ke khaab, do thi khidkiyaan aur ek kitaab
Band kamron ke khaab, do thi khidkiyaan aur ek kitaab