Yashraj
Bindass
(Maharya’s Verse)
Jab bana sangeet mera pyaar
Meri maa par aane laga taanon ka prahaar
Doston me paida hone laga ek daraar
Kyuki mere harkaton me aa raha tha sudhaar
Door hone laga nashey se
Rehta fir akele apne me
Soch meri bakse ke baahar toh bachpan se
Laga na dhyaan kabhi bhi classroom me
Khud hi ke dhun me gum har dum mein
Tab jaake aaya yeh kaushal
Normal log ko laga abnormal
Bhaavnaaein bhare panno pe tab bana author
Ab mere gaano se nikalta bheetar ka monster
Gaur kar
Sab paaya meine daud kar
Bajaata Full power waala concert
Jisme crowd hota bonkers
Dikhе jabhi khaufnaak, Tabhi saare rappers letе maunvrat
Mein na kal ka ladka scene ko de raha kanda
Kabhi na mein lenewaala sahaara chhal ka
Khud hi ke dum pe mujhe chalna
Maza aata bohot jabhi khud ke kamaayi pe palta
Kala ke saath mein rehta kaafi vyast
Duniyadaari ko de na paata wakt
Khushi toh abhi barasne lagi, Ladhta haske jab aati musibat
(Chorus)
Mein toh jeeta bindaas
Din bhar mujhko likhna sirf BARS, BARS, BARS
Khoton ko rakhu na aas paas
Yeh hai pragati ki raaz
Bikhra tha jaise mein taash
Abhi gharwaalon ko naaz
Ghutan toh le rahi thi saas
Khud pe mein rakha vishwaas
Rahu khushaal aaj (x2)

(YASHRAJ’s Verse)
Aur kya boltey bhai log sabh khairiyat se?
Apun gardi me ghuss ke dalte sabh ko hairat mein
Bindas misaaj apna hai bohot hi pehele se
Lagta ek takka luck baaki sabh milta yaha mehenat se
Toh dartey nahi kisi ke bhi baap ko
Faad dala maine jhootey pyaar ke kitaab ko
Aur chal pada likhne main khudhki kahani
Latka ke mere lund pe iss dougley samaaj ko!
Darling!
Merko pyaar toh ghanta nahi mangta iss duniya se
Khudhke hi raaston pe chalna seekha hai maine, hauslo ke majboot kar daley buniyadein
Yeh meri kharabi dekhke merko sharabi boltey
Jawani phuti tabhi se harami boltey
Main leta utha-patak, deta sidha jhatak
Fatey jo aadey main rakh deta kholke
Yeh zamana bohot hi hai nicchad
Hai maa meri 5 waqt namazi, boli "mehenat kar aur kamiyabi ka bridge chadd"
Toh rehne ka khudke hi masti mein, jaa ne ka nahi kabhi gayeron ki basti me
Aur dhuve me udaa do aise sabh basti bhi jaha pe kadar nahi hum jaise hasti ki
(Chorus)
Mein toh jeeta bindaas
Din bhar mujhko likhna sirf BARS, BARS, BARS
Khoton ko rakhu na aas paas
Yeh hai pragati ki raaz
Bikhra tha jaise mein taash
Abhi gharwaalon ko naaz
Ghutan toh le rahi thi saas
Khud pe mein rakha vishwaas
Rahu khushaal aaj (x2)