[Intro: Chaar Diwaari]
Koi aakhri umeed bhi bachi ho to maar do
[Verse 1: Chaar Diwaari]
Bhar mere muh mein mitti (Mitti)
Nihaar mujhe, thook de (Thook)
Tod de badan, paa tripti (Tripti)
Savaar mujhe, moot de
Bhookh lage, khaa mera dil bhi
Jalaa mere phephde, phookh le
Kha mera rain, kha din bhi
Cheer mera, cheer sab, loot le
[Verse 2: Yashraj]
Ghoor mero aankhein angoor-si, dabaa ke nikaale sharaabein
Vo botalein tod ke peeche bhi bhaagenge khoon ke pyaase
Junoon bataa ke hum gaadenge laashein
Vaise to main shaant par dorhe pade (Facts)
Mere naam ki kahaaniyon se chhore bhage
Mohre chaalon ki baatein kholenge agar
Khaulaa mera khoon to fir sabke yahan lode lage (Haan)
[Verse 3: Chaar Diwaari]
Jaaga main neendo se, bhaga main bheedon se
Damaan phir bharaa ye chheton se
Khoon bahaa mera par theek hoon main
Jhooth bola, baby, sorry thoda dheet hoon main
Fikar kya hi ho fakeer ki, jo nadi se bicchde, vo neer ki
Bante dekha maine chheeton ka talaab
Mere lahu ki sharaab piye tu shamsheer-si
[Verse 4: Yashraj]
Khooni darindon ki aakhein parindon-si saaf
Beejon-se bote, hum ginte nahi laash
Arey bhai, kaise tera badlaa svabhaav?
Itna to neech kabhi bante ni aap
Dhass denge saanp, kashti pe aag, bajte ye kaan
Raste pe kaanch, uspe hi naach
Tedhe vichaar, maangu ilaaj, apne he aap se
[Interlude: Chaar Diwaari & Yashraj]
Kya hum kiye, jo raat aaye?
Ye mere din kyun dhalein? Kalima kyun chhaye?
(Kyun? Kyun? Kyun? Kyun?)
Aisi jagah dhoondhein
Kyun har jagah dhoondhein hum aisi jagah?
Chain jagah paayein
Haan, milega zaraa-sa chain vahan
Bulbul jahaan bole
Jo bolta hai, bolne do, saara jahaan
Raina mujhe khaaye na
[Outro: Yashraj]
Mann mein dabaa ke jo rakhoge, niklega fatt ke ye gussa
Baatunga aandhi paros ke, mere andar ka ye hissa
Mann mein dabaa ke jo rakhoge, niklega fatt ke ye gussa
Saari bhadaas main thook ke, lagne de tujhe ko ye kissa