Yashraj
Toh Kya Badla? (Intro)
Takiya kalaam nahi mere pass
Sirf takiya ke pass kalam hai mere
Roz maut se darta hu par shaayad
Ye sirf jeene ka bharam hai mere
Karam ko mere mujhe karma se bachaana hai
Khudke saare papon ko mujhe shabdon se mitaana hai
Ye toh bahaana hai ki mein sirf khudke liye likhta hu
Bas darr iss baat ka hai ki koi sunne waala nahi hai
Toh kya badla?
Mein
Gadi kahaaniyaan sar mein hai chhed
Naa ruke hai kabhi kaise ye khed
Yaa karoge bhed,yaa banoge bhed
Aukaad se zyaada dikhega toh raid
Phele bas mein aur ye booth
Haan sunenge log mеin bana saboot!
Mein bambai ka ladka per delhi nahi door
Haan khudko ilaakon mеin baatu hi kyu?
Ye mere sawaal
Mere jawaab
Meri kahaaniya
Mere hai khwaab!
Ye mere hai log
Jo dhoondhenge mujhe per
Paayenge khud ko aise ye bol,toh sunn