Yashraj
Matlabi (Interlude)
Kahaani uss din ki
Buzdil si soch me tha
Naa jaane chup chaap mein
Kis baat ki khoj me tha
Akela ghar me,ye zimmedaari sar pe
Baitha kamre me tabhi bachpan ka dost dikha!
Dekh ke poochha maine
"Yaha kaise bhai tu?
Call kardeta itni milne ki thi ghaai kyu?"
Naa bola kuchh bhi,par aakhir ne cheeka ki
"Chupp!
Bola mujhe bhai kaise?
Haath tha ye dosti ka,modi tune ye kalaai kaise?
Hum toh saath mein pale bade hum sath khele!
Saath mein school gaye aur saath mein hi daat jhele!
Galti hai meri ki lagaayi ye ummeed tujhse!
Socha ki khaai se nikaalega ye bhai khudse!
Saala Matlabi!
Naa kiya tune yaad kabhi!
Yaa tha mеin wo saamaan,jisse tu azaad sahi?"
{Outro}
Kya kaha gaya hai?
Jaag pyaare chal na jaane
Swapna poora ho na ho
Neend kе panchi ude hai
Fir basera ho na ho
Hum manuj laachaar hai udte
Samay ke saamne
Kaun jaane raat beetein
Fir savera,ho(Na ho)