Yashraj
Aatma
[Hook: Yashraj]
Kar meri aatma salaamat (meri aatma salaamat)
Ghadi mehengi bura waqt (Ghadi mehengi bura waqt)
Saari gumm kyu sharaafat (Saari gumm kyu sharaafat)
Jhooti de Na salah mat (Na Na)
Kar meri aatma salaamat (meri Aatma salaamat)
Ghadi mehengi bura waqt (Ghadi mehengi bura waqt)
Saari gumm kyu sharaafat (Saari gumm kyu sharaafat)
Jhooti de Na salah mat (Na Na)

[Verse: Yashraj]
Hosho aawaaz mein
Dil aur dimaag se
Karu na baatein wo hoga nai
Baithe the class Mein
Nazre thi kaanch pe
Naa jaane kisne kyu toka nai
Shaayad wo jaante
Laaya wo nabbe ke neeche toh sochega dabbe ke bahar
Zindagi kitne asaan thi
Tabse hi ankon se naap rahe ye insaan

Lade baat-te
Sote nai nai raatmein
Wo bole likha sabh
Mein bolu likhte haath se
Faila andhera sarpe
Jaise chalte raat mein
Chaand se aankhein jaati bheeg uss barsaat mein
Sahi salaamati
Ye baatein na kahavati
Ye mushkile toh Draupadi ki saadi
Hoti na khatam kyu?
Zimmedaari
Hum Kahani ke vyaapaari
Chaahe hongi jebe bhaari
Jab haalaton hai madaari
Fir kyu?

Bechu aatma
Mein khone ke bas darr mein rehta
Aaye din wo jab dil pe na lage jo kehta
Kya abhi gaadi hogi badi
Aur gale mein hongi chainein
Tum kahoge saala Beaton pe waise nai behta
Kya mujhe badalne ka mauka doge?
Kya mujhe sambhalne ka mauka doge?
Pyaar meralauta doge?
Galti ki maafi nai maangta bas tum rehna saath
Taaki tum samjho kalaakaar bhi hai insaan

[Chorus: Yashraj]
Kar meri aatma salaamat (Dil kholne ki aadat)
Ghadi mehengi bura waqt (Harr ek bol hai bagawat)
Saari gumm kyu sharaafat (Humein de Na saza mat!)
Jhooti dena salah mat (Na Na)
Kar meri aatma salaamat (meri Aatma salaamat)
Ghadi mehengi bura waqt (Ghadi mehengi bura waqt)
Saari gumm kyu sharaafat (Saari gumm kyu sharaafat)
Jhooti dena salah mat (Na Na)
[Outro: Yashraj]
Kisi ne toh kaha tha ki
Zindagi mein "kala" hona bohot zaroori hai
Hum sabh kalaakaar hai
Par saala ye kalaakaari mein itne doob gaye ki
Ye zindagi chhoti lagne lagg gayi
Aur aise doob gaye ki
Ye paani bas sar ke upar chadhe jaa raha hai
Chadhe jaa raha hai
Chadhe jaa raha hai