Choti si umar uski khuwab us k baray
Apne khuwab poore karne k liye wo apne
Maabaap se laray
Usse hosh koi nahi k us k mabaap us k sath kharay
Un ka kehna tha chor rap agay jahan aur baray
Wo bana chahta tha famous, wo chahta k mere paas bhi ho paisa
Wo sochta rehta tha k mere aspaas log ghoome hai, imagine krta tha k ye manzar hoga kaisa
Paise k nashay mai jism bangaya lava
Wo bolta rehna larta rehta ek din zaroor aiga paisa papa
Ye sun k papa thou uduaas hue
Kahen beta phar nahi atha paisa aisa
Wese chora thu ne aaj bhe mai waisa
Paishay k nashay mai bhool gaya sara qissa
Thu ne thou barbaad kia
Nikaldia mera adha hissa
Chal tujhe maaf kia jane dia
Jese thu gayi maine apne aap se baat kia
Wo aaj bhe pooche taimour kaha gaya
Taimour ko usne mardia taimour thou margaya
Taimour thou jaa chuka kab ka
Ya gaana karta hoon mai dedicate jn saray larkon jo sunte apne nahi balke sunte dosro ko
Phele mai bhi tha insaray larkon mai se ek aaj dekh
Gaanay phenkraha hoon jo tum saray sun rahe ho
Bhari pari bebasi mere apne dil mai
Akela tha akela raha koi aya nahi milne
Mai sochta rehta tha zaroor ayega ek din
Log aenge mujhse mil kar jaenge
Wo ghalat fehmi thi aja jati kehti thi
Mujhpe haste thy k thu nahi karega sahi se tujh se na hopayega
Mujhe mere apno ne bhi kaha
K tera mazaaq urega
Mat kr thu buhut bura lagega
Ab taimour tha barbaad buhut
Nahi krta tha baat, rehta udaas buhut
Wo
Phir wo jaga ek din
Ghar se nikal kar bhaga ek din
He thought his music is the best
Us k andar agaya cofidence
Us k pas larkay buhut saray buhut baray
Us ko ek baba ne kaha tha beta esa kaam kario k maut tujhse daray
Maut tujhse laray
Mere sheher mai athay jatay log maray
Buhut baray hadsaat se guzre per hum akhir thak saath kharay
Ab taimour hai ek artist taimour k views buhut baray...