[Verse 1]
Ham dono parhen Faiz hamein
Milte is se faiz nahi
Zindagi shair jis me
Wazan kafia he hi nai
Samandar ke kinaray bethe
Hain aur paun geelay
Leke aya paani, unhon
Ne kaha aap pee lain
Aap janab bare piyar se bulati thi wo
Wo chale gayi to laga
Piyar karne wala nai he
Us ke ek sawal pe me Lajawab
Aaj jawab he mere paas
Sawal karne wala nai he
Yad he, pehle roz kaha tha
Wafa karein ge ik dusre ko chaha tha
Tumse kaha tha ke sorry nahi karna kabhi
Ye dil ek taala isme
Chori nahi karna kabhi
Usi jurm me tu aaj bhi raatein jagti he
Pehle tu bhagti thi rеply tu mangti he
Pehle taimour famous nai tha
Abhi bhi famous nai hе
Pehle tu meri thi sirf
Ab tu kahin ki nai he
[Instrumental]
[Verse 2]
Meher posh main, teri main soch me
Ik awaaz bhi nikalti tu mu se
To mujh se poochti thi
Talluq kia he mera tera
Main bolta tha jo jism ka he rooh se
Umar kat gayi he tere intezar me
Qeemat to qeemat nai thi lagti hazar me
Saari baaton ka sirf ek hi afsos
Dil se nikal kar tu jaa bethi bazar me
Meri dastan ko kia nai qabool
Meri wafa saari us ke liye fazool
Bachi koi aas nahi, to ab itna bata
Main ne chaha tujhe kia ye meri bhool?
Mere dimagh me wo chal
Rahe hain sawal tere
Mere zehen me kiu aate he khayal tere
Mayar tere, pe me utra nai
Tere laakh samajhane
Par, bhi me sudhra nai
Meri ghalti to meri wajah
Teri ghalti to main kiu wajah
Manzil to pata he par rasta nai jaane ka
Raasta dhund bhi loon
Wasta nai he jaane ka
Ab kisi se mera hisab nai he
Meri aankho me dekh
Yaha koi khuwaab nai he
Khoon ke ghunt pi raha hu main raat din
Ye mera khoon he, ye sharab nai he
Main sharabi hu meri aas na cheen please
Tu meri aas he sharab nai he
Noch phenke labon pe mene sawal
Taqat shoqia he jawab nai he
Ab to Punjab bhi Punjab nai he
Aur khud jesa aab do aab nai he
Zakham aabaad he, aane jaane ke
Aur aisa koi bhi hisab nai he
[Instrumental]