Mai likhu teray baray bs
Mere baray likhe tu
Tu sabse alag
Bheer mai bhi dikhe tu
Adhi raat mai jag jaun neend se
I see devil beside me
Mujhmai koi aur rahe
I feel like theres someone inside me
Jo mujhe rehne na de
Kuch kahu toh kehne na de
Aye zindagi tujhse gilay
Logo ki bheer ma sirf tujhse milay
Khud se naraaz thay hum kaafi dinon se aaj khudse milay
Kabhe pochonga tujhse, sab karke ye kia milay
Kis umeed per krte ho wyaday tum, kal ho na ho
Kia pata, aagay hum na milen
Kabhi dekha nahi tera toufa wo kholker
Aaj dеkha tho tha mera dil mujhe tu ne dia jo thorkеr
I know it's sad, tera door hona mujhe maarde
Mera naam tu kabhi ek baar toh pukarde
And it's last time, maine wyada kia maine peena nahi
Ke tere bina ab wo jeena bhi raha koi jeena nahi
Baatien batayi hain dosri, tasveeren dikhai koi aur
Meri mashoori ka raaz hai sada libaas likhai per zor
Jaladie toufe, tune jo kie thay wapis
She's aware of me, wo mere maazi se waqif
Adalat kis baat ki, jab ke be qusoor thay hum akhir
Bas bolun sach, agar jhoot bolu toh mai kaafir
Na jaa pau manzil ki taraf
Aagay hain sab mere
Jaan se zyada sambhaal ker
Amanat wo khat tere
Tujhe ooper rakha mai khud se
Phir bhi gillay tujhe mujhse
Khato khitabat, hum kis daur ke hain
Ab hum tere nahi kisi aur ke hain
Kissi se door hu mai kisi aur ki wajah se
Bas door toh hu, jo aye dimaag se saza de
Mera humsafar mere safar ma saath nahi
Shayad dono ke liye khaas nahi
Ya ata dono ko mai yaad nahi
Har cheez hai samne tere
Chupaya tujhse koi bhi raaz nahi
Mai misaal na du, be misaal hai tu
La-haasil hai tu mere paas nahi
Laakh samjhau, samajh tu paye na
Intezaar karu, dedaar ka waqt bhi aye na
Mehfilen ghooj uthi tere zikar pe
Saray khat mai chor ke agaya hu hijr pe