Taimour Baig
Long time no see
[Pre-Chorus: Usama Ali]
Sapna tha tu mera, main tujhko hasil karun
Lagta na bin tere dil, ab iska kya karun
Beetega har sama, bas teri hi yaad mein
Tu meri justjoo, tu meri aarzoo

[Chorus: Usama Ali]
Jaane kahan kho sa gaya tu?
Lauta na aisa gaya tu
Khwaabon sa ho sa gaya tu
Rahon se ab mud ja na
Mujhpe yeh qarz chadha de
Tu mera dard badha de
Ya de aaram mujhe
Zakhmon ka marham banja na

[Verse 1: Taimour Baig]
Coming home, long time no see
Ab dekhein tujhe roz hi
Khuda de to main likhoon
Music mere liye ban chuki hai rozi
Jab chahe aamad ho, jab chahe nahin
Duniyaan bolti rahe mujhe, main ro bhi nahin
Uss toote hue ghar ki tasveer dekh
Uss tasveer mein abb tu bhi nahin, aur main bhi nahin
Toh kitne dard mile honge tujhe meri wajah se
Tu aaye jis jagah chale jaaye hum uss jagah se
Izzat ko lena dena duniyaan ka dastoor samjha hain
I was right there par tune mujhe door samjha hain
You said, you're gonna be with me for life, girl
Ab main khud par taan kar baitha hoon rifle
This broken heart hurts so much, man
Kabhi kabhi khayal aaye suicidal
Kyunki humne tujhse baat karna chhod di hai
Haath par khoon, ghar ki cheezein maine tod di hain
She's gone, use na roko, woh ja chuki hai
Toofan ki alaamat hai ye khaamoshi
Ye baarishein chhupa de mere aansu
Lage aishe jaise boondein meri aankhon mein hi aa basin
Main kaam karoon lagan se, no one has ever felt
Ab mujhe apne hi logon se mile shabashi
[Verse 2: Usama Ali]
Baatein hai ye teri wafaa ki
Baarishon ki thandi hawa ki
Titliyon ke rang hain tum mein
Phoolon ki to laaj bada di
Basa hai tu dil mein kahin?
Ya tere hone ka ehsaas hai
Jitni bhi doori hai tujhse bhale
Lagta hai jaise tu hi paas hai
Aa mujhme bas ja aisha kahin
Ke jaane ka ho raasta nahin
Kyun tere bin dil lagta nahin
Kyun rota hai, kyun hasta nahin
Aa phir se mujhko rasta dikha
Mere haath pakad yeh doori mita
Kaise manu tere dil ko
Tu saath kisi ke hasta dikha

[Pre-Chorus: Usama Ali]
Sapna tha tu mera, main tujhko hasil karun
Lagta na bin tere dil, ab iska kya karun
Beetega har sama, bas teri hi yaad mein
Tu meri justjoo, tu meri aarzoo

[Chorus: Usama Ali]
Jaane kahan kho sa gaya tu?
Lauta na aisa gaya tu
Khwaabon sa ho sa gaya tu
Rahon se ab mud ja na
Mujhpe yeh qarz chadha de
Tu mera dard badha de
Ya de aaram mujhe
Zakhmon ka marham banja na