Taimour Baig
Lajawab (Slowed + Reverb)
Ab na mai karta hoon shyari, na wo pharti faiz hai
Muhabat jail jisme hum dono umar kaid hai
Rahegi gawah kabhi bola usse jhoot nahi
Sawaal krne walay hain jawab dene ka mood nahi
Chor ke jana bhi ek hunar se kam nahi
Mujhe chorne ki zimedaar ab wo khud thi
Mujhey afsos nahi ke wo mujhe chor gai
Afsos yeh hai ke wo mujhe chor ke khush thi
Jahan tu bole ab us jagah se ma hilta nahi tha
Tera tho humshakal bhi sai se tujhmai milta nahi tha
Marne se phele tujhse milna hai har soorat ma
Ab usse shikwa hai ke Aryan mujhse milta nahi
Cheer dia mujhe inhone rakhdo in khalo ko
Mohabat hogai tumhe chalo ab mubarak ho
Aur tum kya jaano ke ye mohabat kya hoti hai
Muhabat cheez hi asi jo milti qismat walo ko
Aur Andar mere, tera dia dard bheta hai
Teri hi gali mai, terе bagal mai wo rehta hai
Mujhse poochte yе dard kese sehta hai
Kardeta bayaan, Aryan gano mai sab kehta hai
Asnun ko kese roken humsab ansu tho bheta hai
Jo deta dard wo wapis dard bhi leta hai
Meri babesi ka alam ye din bhi guzaron sog mai
Manga uane khula aur kahan milenge ab Court mein
Ajaenge peeche tere saray haath dhokay
Tu koi unokha nahi, tujhe bhi honge dhokay
To bhi bolega sabko ke yaar ke ma theek hun
Tu bhi hasega phir mitaega asu roke
Hum do lehre hain jo aik hi bankar bheti
Yeh lehren wafadaar hain ye khudse nahi kehti
Mai in lehron ke kinaray hy beth ke likhraha ye geet
Vo dono lehren mile, leke bheta ye umeed
Hogi meri jeet jab lehre mile dobara
Lehron ne kya shor tera naam jab pukara
Is dariyaa ka koi zariya nahi ye daria seedha jaata hai
Aryan kitna bura hai wo ganay bhi tho gaata hai
Waqt guzarta gaya zindagi aik dor hai
Har qisam ke gum mile per tera gum kuch aur hai
Wo aankhien jo mere siwa kisi ko dekhe na
Per un akhon ka asal haqdaar koi aur hai
Shehre dil ma kamata kese paisay mein
Wou Qeemat hoti meri aur wo takhwa kuch aur ha
Tujhe dhoonde mai zindagi kardi hain basar
Meri talash tu teri talash tho koi aur hai
Poori raat mujhse baatien karke wo sogayi thi
Uthadia tha bas ye galti mujhse hogai thi
Mujhe yaad hai aik din mai ma girgaya tha
Mamuli si chot per wo rogayi thi
Nafrat hai usko mujhe aur mere anay se
Socha bachalunga mubahabat apni ganay ganay se
Tune ab haath se lagaen hain mere marham yaad kar
Mai choten bhi lagane laga tha isi bahane se
Lagta aisa jese raat bhar wo soti nahi hai
Muhabat har kisi ko har kisi se hoti nahi hai
Mur ke bhi nahi dekha jab gayi tu dil ye torker
Kamane jaata hun araam mai yeh araam chor ker
Ke dastan sunaraha hun teri saalgira ke din
Aaj teri saalgira hai na tho tu aake mujhse mil
Happy birthday to you aaj tum khushiya manao
Kitne dost bangaye hain uske mujhe nahi batao
Maza ata tha jeene mai jab tum thi mere saath
Agar ye sunrahi ho tum, tho jaanlo ye baat
Teri yad mujhe aati tho khatakdeta hoon foran
Aaj saalgira hai teri, yaaden anay dunga aaj
Happy birthday!