[Kali]- Intro
Mujhe dekh kar achambhit mat ho, main tumhara hi saty hoon, main aap sabko naitikta ke us andhkaar se mukti dilaane aaya hoon jo aapko jeevan ke sukhon se vanchit rakhta hai, aapko lagta hai Ishwar hai aur wo aapki raksha karega....parantu, Kalyug mein Jeevan aur mrityu ki dor kewal Kali ke hathon mein hai
[Kali]
Naam mera chota par kaam hai prachand
Punya paap ke banata main manon mein dvand
Hazri hai teri par fir bhi mujhko maante
Hari meri baatein kya de rahi hai ranj?
Tu aaya saare yugon mein mitaane kai dhoort
Abhi tu hai neeche aur thaami maine oonch
Na Kaalnemi, Kans, na Raktbeej, Ravan
Saare durjan sa in hoon nahi main moorkh
Teri praani tera naam leke haan bawal kare
Tere praani teri dhara kroorata se laal kare
Tere praani tera naam leke maili chaal chale
Tere praani tere hi wajood pe sawal kare
Dharm ki ye nauka khadi beech mein hi teri
Dil pe saari baatein praani kheench rahe meri
Ye saare mere parth aur inka main saarthi
Swyam hi bata de kya ye jeet nahi meri?
[Kalki]
Baatein badi bolke to swyam bana muni
Swyam baatein boli sau, meri nahi suni
Khud hi sawal aur khud hi jawab
Anokhi tune Kali bhala kriya kya hi chuni
Yugo waali yatra ka tune kyun hai bhaar paala?
Leela ki kahaniyon ko janta sansaar saara
Baad setu poorti ke mila tha Lankesh se
Par sahi samay par usko bhi maar daala
Jhootha naam lene waale ghoome sareaam hai
Rajneeti khelenge ye maana mere naam pe
Svaang bhi to rachenge, paisa bhi kamayenge
Ved pesh karenge ye apne hi naam se
Nauka mein viraam hai ye bhool tune paali
Kali tere parth bhi hai teri tarah khaali
Nauka ki tu baat kare bhool kaise gaya par
Matsya ne kaisi thi nauka wo sambhaali
[Kali]
Tathyon pe aata hoon main baaki baatein chor
Aadhunik bhasha ke sunata hoon main bol
Aaj ki ye peedi kaise karti hai baat
Uni baaton ka haan Hari ab sunega tu shor
Vikaas laaya shirshti mein naam naya net
Par World Wide Web hi ye ban chuka hai net
Treta mein rishton ka dekha tha sammaan
Par aaj tere praani yahan dhoondhte incest
Dark Web site ka to suna hoga naam ye
Maans apna cheerte hai phenke hue daam pe
Maanav taskaree se leke hote maile kaam hai
Maanvta hai kahan ab bol tere sthan mein?
Dil bahalane hetu bacchon ko yatna
Raktapaat bina koi chaahta nahi vaasna
Kahan teri Geeta aur kahan updesh hai?
Kaale is saty se Hari ab bhaag na
[Kalki]
Dhara mein kya ho raha hai main nahi anjaan hoon
Tathyon ka bhaari kyun de raha hai gyaan tu?
Baatein kare aise jaise chinta hai shristi ki
Manavon pe chor raha paap bhare baan tu
Vikas ke to hote hai paksh aur vipaksh
Koi bas paapon ko bana leta hai lakshya
Pushpak ka le le tu fir zara udhaaran
Viman kaise karyon ko le gaya tha dusht
Maanvta ki seema yahan laangh chuke praani hai
Leela vidhvans ki to abhi aur aani hai
Gyaani yahan hone ko to sab dawa karenge
Paar wahi lagega jo satya mein gyaani hai
Athaarah dino tak kyun lada bhala yudh
Jab kuch hi palon mein rok sakta tha khud
Leela meri Kali teri soch se hai pare
Ab Devadatt hoga mera yudh mein Garud
[Kali]
Kya baatein meri baanon Jaisi chubh rahi teevr?
Praani aur dogle bhi banege haan sheeghr
Dharmik sthalon pe ye naache tera naam le
Bhakti se zyda inhe views ki hai fikr
Phoonkte hai ganja ye naam leke Bhole ka
Reels mein to Radhe Radhe har praani bolega
Pooch lo sawal aadhyaatmik ek inhe
Dhongiyon mein muh fir koi nahi kholega
Dharm ko mitaane ki shakti hai waise
Kali jaisi soch ab sabki hai waise
Bhakton ke muh se suna Kalki to waise
Dikhawe ko jo hoti wo bhakti hai kaise?
Arey ja, baat jamti na waise
Soch tere praaniyon ki halki hai waise
Jan tere chal pade dharm ke virrudh to
Dharm ki ladai hui Kalki ye kaise?
[Kalki]
Saare lage Kali tujhe kyunki tu adharmi
Bhakti na bachi Kali ye hai tera bhram hi
Tootega ye bhram saara samay ka hai khel
Antatah mein jeetega dekhna haan dharm hi
Dekhte hai Rudr praaniyon ki truti
Leela Hari Har ki to waise hai abhooti
Jo karte hai dhong wo swyam bhi na jaante
Hrdy waali bhakti hi Narayan ko chhooti
Dharm tu mita de, nahi tere mein hai sahas
Maanvo ke man tu karna jaane aahat
Unhe kaise karega kaabu tu bata
Jinhe sunte nahi hai tere lobh ke Pakhavaj
Chaahe behla le ya kapti koi chaal chale
Aayenge na jan mere kabhi tere jaal tale
Dharm ko mitayega tu kaise bhala Kali?
Mere priy bhkt dharm ki hai dhal bane
[Kali]
Jis suraksha aur nyaay vyavastha par tum vishwaas rakhte ho, jin kaayaron ko tumne nayak bana diya hai, wo inhi sthaanon par upasthit hai parantu wo bhi laachar hokar Kali ki likhi hui niyati ko poora hote dekhenge
[Kali]
Bhay laaya mera ab chaaron disha jaan jaaye
Dal mein na mere hai jo saare shamshaan jaaye
Jeet meri tay chaahe yudh ghamaasaan aaye
Saat Chiranjivi ya chaahe Hanuman aaye
Praani tere chorenge na lobh ki ye truti
Vaasna bujhaane ko to aabroo bhi looti
Madira ki lat bol kitno ki chhooti?
Sone ko haan dekh kabhi aatma na roothi
Kalki tu baatein waise karta hai bhaari
Dwapar mein jue ki bhi chali thi na aari
Tere paanch pandavon ne kyun khela jua aur
Jue mein laga daali thi swyam ki hi naari
Main jaisa karwaunga ye waisa hi to karenge
Bhakti ke raaste pe do hi din challenge
Swyam chaahe dekh lena haal tere praaniyon ke
Meri phenki aadaton pe praani tere palenge
[Kalki]
Sone se tabaahee Kali tune hi to layi thi
Vaasna ki aag zyda tune hi lagai thi
Swarn se bani thi na Lanka wo poori
Yaad kar zara saari kisne jalai thi
Dharm chor yadi koi tere peeche aayega
Bhakt ko bachaane mera roop aade aayega
Baat yadi maana to sath mere jaayega
Maana nahi yadi to wo swyam pachhataayega
Bhool kar paanchon parinaam aage pesh they
Dharm ke wo raaste pe chal rahe they veg se
Shakshi hai yudh Mahabharat ka baaki
Kaun wahan mare aur kaun wahan sesh they
Srshti mein maana faile chhal abhi tere sab
Khokle hi praani tere le rahe hai fere sab
Samay hi dikhayega tujhe saccha aaina
Taj tera pada hoga charano pe mere tab
[Kali]
Kali hi rahega ab fir se na Treta hoga
Aage mere Hari tera bhakt bhi to leta hoga
Dasham avatar tera sar thaame baitha hoga
Is baar par dharm na vijeta hoga
[Kalki]
Yudh aisa dekhega jo kabhi bhi na dekha hoga
Tera yehi bhram tab tod ke hi phainka hoga
Baat kare kya hi tu Kali is baar ki
Aane waale yugon mein dharm hi vijeta hoga
[Kalki & Kali]- Outro
Kalki: Samne aane ki himmat nahi hui? Mujhe laga aaj tum samne aaoge
Kali: Main chhupa nahi hoon, mera saty to sabhi jaante hai par aaj vishav tumahra satya dekhega, aaj sabko pata chal jaayega tum avatar ho ya kisi ka rachaya ek dhong, jo marg maine chuna hai, wo nyaay ka hai
Kalki: Nirdoshon ko maarna....kabhi nayaay nahi ho sakta