Narci
Kaal Bhairav
[Prabhash]
Kashi ke bhi swami aur mere bhi ho tum sakha
Tere sath ke bina na daas aage chal saka
Tum haroge peeda meri, hai jhuka ye aage sheesh
Hey prabhu, hey Kaal Bhairav tum hi to ho nyaayaadheesh

[Bella]
Mere Bholenath kar dete paapi ka naash
Vish tere kanth hai tu nandi sawar
Mere bhole tere tandav se dharti gayi kaanp
Baaje damru Kailash pe Shiv rahe naach
Mila moksh mujhe bas tere charano mein aakar
Das Dashanan teri ungli barabar
Vardaan mile tujhe khush kar ke
Tere paath mein leen hai Ravan
Mera koi nahi Bhole agar tum nahi ho
Murde jagaye tere damru ki dhun baji jo
Mere bhole ko dikhe sab bhale aankh lagi ho
Tera naam japun bhale koi kaam nahi ho
Main tera nam japun bhale thodi jaan bachi ho
Mere Bhairav Kailashi
Mere Shiv Shambo mein na koi khami
Tumse jo nazre hati mere bhole to
Dharti pe lava ki ho Tsunami
Mere bhole tujh mein sab paya
Maya mai na janu shesh tera saya
Bhooton ki toli Japti teri mala
Maine teri bhakti mein sbko nakara
Mere Bholenath
[Prabhash]
Nyaay ki bhi aasha mujhko hai tum hi se ab prabhu
Bin kahe hi sunte meri dil ki baatein tum prabhu
Ban chuka hoon main deewana ab to teri Kashi ka
Hey prabhu karo swikaar daas ki bhi yaachika

[Bella]
Tera ant jaane mera Kaal Bhairav
Tere man ko sunle mera Kaal Bhairav
Tera aj likhta mera Kaal Bhairav
Tera kal jane mera Kaal Bhairav

Bhole, Bhole. Bhole

[Narci]
Boli maine aage baatein hrdy ki bhi saari
Mere prabhu meri peeda aur hone lagi bhaari
Tum mundon ki maala mein bharo mera sar
Ya har lo ye peeda jo bani baithi aari
Mahakaal ke rang mein ranga
Dil mera diya tujhe kab ka thama
Kavi dar pe khada main to sar ko jhuka
Khud mein fasa mujhe kar to riha
Seene ne khushiyon ki thaami bhasam
Jeene ka waise na kha li kasam
Haathon mein thaama jo paina auzaar
Karo ise ke utha ke kahani khatam
Dekhoge bhakti haan lahu ki leharon pe
Girenge chheentein bhi bhakton ke chehron pe
Sar ko laga lena maala se tum
Dhad mera rakh lena paavan se pairon pe
Ganga hai keshon mein, nirmal hai bhesh
Dete mita wo daason ke dvesh
Mujhko dikhaate ho kya hi haan darr?
Mere Bhole ki aankhon mein rehta hai tej
Teri hi Kashi hai, tera Kedar
Geeton mein maangu mein tera deedar
Bhairav hi jaanenge dil ki bechaini ko
Duniya se pucchun main kya hi sawal?
Bhairav, mere Bhairav
Bhairav, mere Bhairav
Bhairav, mere Bhairav
Bhairav, Har Har Mahadev

Kala mein hi bhara mera bura aur bhala
Gala bola mera peeda mein to koi nahi chala
Jab jala mera hrdy bana koi nahi saga
Dekha mere baba ne hi bhaav mera khara
Bhaav mera khara, mujhe ghaav mila gehra
Dil mera maila pada, paapi chehra
Aap hi ne fera mujhe bhakti raah pe
Dekha maine aage mujhe mile mere Bhairav
Sakha bhi tum, tum hi to baandhav
Hathon mein kalam hai jaise ye Gandiv
Raja hey Kashi ke mujhko bach lo
Bhaari kalesh kare hridy mein tandav

Teri hi Kashi hai, tera Kedar
Geeton mein maangu mein tera deedar
Bhairav hi jaanenge dil ki bechaini ko
Duniya se pucchun main kya hi sawal?

[Prabhash]
Kashi ke bhi swami aur mere bhi ho tum sakha
Tere sath ke bina na daas aage chal saka
Tum haroge peeda meri, hai jhuka ye aage sheesh
Hey prabhu, hey Kaal Bhairav tum hi to ho nyaayaadheesh