Narci
Dua
[Abhishek Biddla]
Aanshu bhi bahe, din bure bhi gaye
Hum haalaton ke mazloom bane they rahe
O mere Maula ne has ke mujhko kaha
Haan tere dil ko lagi kitno ki dua
Haan soch kar yahi aage badhte rahe
Haan leke labon par muskaan hum chalte rahe
(Chalte rahe, chalte rahe)

[Narci]
Khuda ko kehta shukriya aur sajde mein bhi jhuk liya
Unko bhi hai shukriya jinohne bhar ke dukh diya
Shukriya hai unko jo bhi peeche karte chugliyan
Banke rehnuma hoon laaya lafzon ki ye tukdiyan
Dil se likhi baatein seedhe dil pe hi lagi thi
Dilkashi thi dil ki baaton mein, ye dil ke hi tabhi thi
Paas har aadmi ke, dard bhi to laazmi they
Panno pe utaare wo bhi badi saadhagi se
Imithaan mein zindagi ke, intihaa hai gamon ki
Milte hai haalaton se na gintiyaan hai gamon ki
Manzilein kareeb hogi apne dil se darr hata
Mar mita hun sapano pe jo ruk gaya to sar kata
Har khata kabool ki hai maine meri zindagi ki
Chandigarh ghar poochte ho 'gar pata
Chatpata utha hai dil paane ko muqaam bhi
Banda kare shayari yahi hai uska kaam hi
Aam hi hai kaam uska aisa socho bhai na
Likhta wo rubaai jab jaagti awam bhi
(Jaagti awam bhi)
Baste mein jazbaaton ki thi logon ki duaayein
Pyaar beshumaar, khuli hui baahein
Zindagi mein meri logon ki duaayein
Wo dua mein hai shamil jo they dua leke aaye
[Abhishek Biddla]
Mere jazbe ke angaaron ko ae Khuda
Mere jazbe ke angaaron ko ae Khuda
Har baari hai teri hawa mil rahi
Shukriya kehta hoon

Shukriya kehta hoon har us shaks ko
Jiski dil se mujhe hai dua mil rahi (x2)

[Narci]
Mere ghayal bharose ko...jinki dua
Har baari hai ban ke dawa mil rahi
Shukriya kehta hoon har us shaks ko
Jiski dil se mujhe hai dua mil rahi