Narci
Mera Dil
Abhishek]
Mera dil nahi bin tere laage
Mera dil nahi bin tere laage
Na sune ye jag ki baatein
Na sune ye jag ki baatein
Tere peeche bhaage, bhaage re
Mera dil nahi bin tere laage
Mera dil nahi bin tere laage

[Narci]
Dil pe likhi aayaton mein baat bas teri hai
Bani mere dil mein jagah khaas aaj teri hai
Paise ke tarazoo pe na tolna tu dil kabhi
Pyaar tujhe dene ki aukaat bas mеri hai
Bura hoga waqt kya tu tab saath degi?
Duniya mere pyaar ko bhi kya aank lеgi?
Haazir tere kadamon pe hai jaan meri jaana
Tu jaan se bhi zyada meri kya maang legi?

[Abhishek]
Shaamil tere dil ki har taareekhon mein hoon
Shayaron mein gin nahi aashiquon mein tu

Khwaishon mein tu ya khwaish meri tu
Mere pyaar ki zameen ki paimaish bhi kya doon?
[Abhishek]
Na sune ye jag ki baatein
Na sune ye jag ki baatein
Tere peeche bhaage, bhaage re
Mera dil nahi bin tere laage
Mera dil nahi bin tere laage

[Narci]
Hawa tere naam ki haan choo ke guzar jaati hai
Nazmon ki deewaron pe tu kyun ubhar aati hai?
Haal kya deewane ka hai pooch mere kaagazon se
Likhna chaahun shayari par tu utar jaati hai
Peene lage pyaar ko hai jaana tere aane se
Maykhaane ka asar hota na deewane pe
Aane de tu chaahe taane ye zamaane ke
Par jaane de inko tu mujhko khud ko yun hi chahne de
Maykhaane se deewane ke taraane sunte shehron mein
Taare nahi maine rakhi wafa tere pairon pe
Chalte hue thak gaye mere pair 'gar
Nikaloge haan aage ya tum mere liye tehroge?

[Abhishek]
Na sune ye jag ki baatein
Na sune ye jag ki baatein
Tere peeche bhaage, bhaage re
Mera dil nahi bin tere laage
Mera dil nahi bin tere laage