Valmiki gurudev ke pad pankaj sir naay
Sumire maa Saraswati hum par hou sahay
14 saalo ki na gayi thi yaad abhi tak
Ayodhya ki subah mein thi raat abhi tak
Kehne ko samapat hua vanvas
Par kashton ne chora nahi sath abhi tak
Leke aayi naari ek nya ki guhaar
Ram ke tha aage uski peeda ka bhi bhaar
Apne hi pati ke aaropon se thi ghiri
Umeed bhari aankhein bhi Ram se thi mili
Choton ko dikha ke boli peeda ye vishaal kyun?
Naari ki chavi pe aaj pati ka sawal kyun?
Saat feron ke, kaise wo vachan
Apmaan ke ye fero mein naari hai laachar kyun?
Dhobi ke bol chale they awam mein
Bolo mujhe Ram nahi, bola tha wo saamne
Ram nahi main tujhe karun swikaar
Sita ko jaise swikaar kiya Ram ne
Pariksha maana li, Siya ki thi Ram ne
Rahi thi par Siya, Ravan ke hi sthan pe
Saamne to sabhi bole Sita hai mahan
Sita hai pavitr iska kya prmaan hai?
Baatein sun uski Ram hue they aaghat
Hath pade sheet, pairon mein bhuchaal
Raat maare need, vyaakul haalat
Pal bhi tha bhaari, they bhaari jazbaat
Dekh apne swami ko Siya khole marg
Nibhaao rajdharm kar Sita ka tyaag
Ram bole kaise choru tera piya naam?
Saath tune varshon mera diya din shaam
Duniye mujhe kehti Siyavar Ram
Bin Siya ke kahegi mujhe Siya bin Ram
Sita boli aap karo kul ka khayal
Raja ke hi sar zimmedariyon ka bhaar
Tyag karo nahi to ye saari hi praja
Raja ke dharm pe uthayegi sawal
Labon pe khamoshi, dil mein toofan tha
Dil mein tha jaise akelapan shaam ka
Aatma to meri aaj vano ko chali
Ayodhya mein reh gaya tan khaali Ram ka
Ram ki thi aagya Laxman ke man mein
Chor aao Sita ko jaakar abhi van mein
Hathon mein lagam, aankhon mein they aanshu
Laxman toot gaye bas usi kshan mein
Rang vanvaasi fir se aaya paas
Laxman ki tab dabi thi awaz
14 saalon ko vanon mein pehle gaye they wo teeno
Is baar tha Siya ka akele vanvas
Laxman bola kaise choru in vano mein
Maata main tumhe in kashton ke kshanon mein
Siya boli niyati ko yahi hai manzoor
Rahun main ab vano ke diye gharon mein
Siya ka tha vaas bana Valmiki asharam
Hontho pe the hasi par dil ke tha paas gam
Mili unhe wahan vandevi ki pehchaan
Sita ki pehchaan se they saare hi anjaan
Samay gaya beet Siya bani khaas ab
Sabhi ke wo beech, bela shubh aayi naachkar
Dene lage saare vandevi ko badhaai
Goonja kilkaariyon se saara hi tha asharam
Door hue maana thode Siya ke they dukh
Valmiki sang baaki log bhi they khush
Naam dono beton ke bade dilkash
Luv rakha ek ka tha, dusre ka Kush
Valmiki guru bane, Sita ne de seekh
Dono bhai namr, dridh aur abheet
Hathon mein kaman, prakrti se dheer
Gyaan bhara man mein, tarkashon mein teer
Buddhimatta baalkon mein jaise koi gyaani
Veeron sa partaap jaise yudh ki ho thaani
Unhe kya pata tha ki aane waala samay
Jodega adhyaay mein yudh ki kahani
Fasane sune dono ne Sita aur Ram ke
Sunke bole kaisa nyaay hua tha awam mein?
Sau they sawal par ek tha zaroori
Siya ko kyun tyaag daala Ram ne?
Ek ye sawal unhe khaane laga roz
Luv aur Kush pe ye ban baitha boj
Paane ko jawab hone lage they bechain
Ram ki thi ab Luv-Kush ko bhi khoj
Sawal pooche pita ka, vaani ye nadan si
Anjaan bane Sita jaise kuch bhi na jaanti
Zara bhi andaza dono ko na tha
Bete jis nari ke, wo hi to hai Janki
Ayodhya thi doobi mantron ke shor mein
Ashvamedh yagy ki tayaari poore zor se
Shatrughn liye pauhaunche ghoda ek shawet
Ghode ke tha sar laga ek sandesh
Rasta dega ghode ko jo hoga na virudh
Pakadega jo ghoda use karna hoga yudh
Leke jaao ashv saari hi dishaon mein
Suryvanshi dhvaj khul ke tum leharaao ye
Vijay hoke lauton aisa diya aasheervaad
Kul ki haan shaan oonchi tum uthaao ye
Laut raha tha ashv ghum ke dishaayein sab
Nazarein padi Luv ki ghode pe thi tab
Kheencha uski aankhon ko ghode ke saundary ne
Ghode ko pakadne ki thaan baitha Luv
Kaabu kiya ashv aur padha tha sandesh
Socha usne kaun usko dede bhala thes
Sainikon ne bola ye ghoda dedo waapis
Nikaal ke teer sabke aage tha wo pesh
Yudh ko taiyaar mere tarkash mein jo baan ye
Sainik aage khade saare hi hairaan they
Luv bola kheench ke kaman yahi baat
Kisi se na ladunga sivaaye raja Ram ke
Kush ne bhi saath diya poora apne bhai ka
Aaye Shatrughn dekhe unhe kaun harayega
Shatrughn bole unhe dekhte hi ye
Tum to abhi balak ho, yudh ka kya fayada?
Luv Kush bole aayu ka na bhay karo
Pehle karo yudh fir aage tay karo
Aapko na denge hum ghode ki lagam ko
Bhejna hai to bas bhejo raja Ram ko
Yudh hua shuru, teer lag rahe the aatish
Le na paaye Shatrughn par ghoda wapis
Laxman ne krodhit ho yudh ki thi thaani
Wo bhi laute par liye haath khaali
Aaye fir Bharat, leke haan kaman ko
Bole aage aao jise khona apne praan ko
Luv Kush khade aage thaame apne baan wo
Baat yahi boli fir kheench ke kaman ko
Haare jo they pehle unhe yahi tha bataya
Bhejo raja Ram ko na samay karo zaya
Sunke dono bhaiyon ki baat bole Bharat
Bharam karne door main swyam chala aaya
Yudh hua par dono bhai pade bhari
Laute liye Bharat apne dono haath khaali
Dekh ye nazara ab Ram hue kordhit
Swyam ab yudh ki thi unhone bhi thaani
Baatein sun balakon ki Ram they hairaan
Dhanush pe tha baan aur kheench di kaman
Ram ne nishana saadha karne ko vaar
Luv aur Kush bhi they yudh ko taiyaar
Shuru hua yudh aur teer chore baari baari
Luv aur Kush pe they Ram pade bhaari
Valmiki pauhaunche aur roka tha anarth
Bole dono pakashon ko neeche karo shastr
Valmiki bole abhi kshma maango Ram se
Pita jaise raja hai ye saari hi awam ke
Ram ne jo poocha kyun kiya hahakaar?
Luv Aur Kush pooch baithey ye sawal
Sita ko kyun chora dedo ye jawab
Nyaay tha ye kaisa batao yahi aap
Pyaar tha vishal ya aapki awam?
Aankhein liye nam unhe bolte hai Ram
Kartvya ka bhaar mere kandho pe viraja
Ek pe tha pati, dusre pe raja
Tyag ka vikalp mujhe nahi tha manzoor
Door jaake kiya Ram ko bhi aadha
Luv aur Kush ki thi aankehin bhar aayi
Jaane Siya Ram ki wo premi ki gehraai
Asharam ko laute dono liye muskaan
Siya ko unhone saari baat thi batayi
Samane tha pal ab parada hatane ka
Kush aur Luv se kuch na chupane ka
Valmiki bole dekh Sita ki aur
Aa gaya hai samay ab sach ko batane ka
Poochte they roz, pita ka hai naam kya?
Hile they jawab sun Sita ki zubaan ka
Sita ne batayi jab dono ke ye baat
Dono ki ragon mein khoon Shree Ram ka
Beet gaya samay kuch, gaye wo Ayodhya
Wahan pe sunai thi Ramayan ki katha
Katha ko sunake bole Luv aur Kush
Putr hum aapke aur aap hamare pita
Pita main tumhara kaise loon ye maan?
Mata hi tumhari de sakti hai parmaan
Valmiki sang jab pair rakhe Siya ne
Dekh unhe hue they Ram bhi hairaan
Aanshuo ki dhaar nahi ruki thi nigaahon se
Maano khushi lauti Ayodhya ki raahon mein
Pal wo khaas bada lage anukool
Siya ka hi naam goonja tha hawaon mein
Gehra hai bahut is katha ka ye kaand
Dikhata ye naari ka dukh aur maan
Sidh kyun kare naari hi wajood?
Kyun naari se hi maange charitr ka parmaan?
Ranga satkaar se tha naariyon ka chitr
Hath jod Siya boli baat bhi vichitr
Bhoomi legi khud mein ye mujhko bhi sama
Yadi saaf hoga Ram ki Siya ka charitr
Kamnp gayi bhoomi aur khola usne mukh
Dharti maa boli beti khatam hue dukh
Bhoomi se wo aayi thi aur bhoomi mein hi gayi
Siya ki kahani hui yahin pe vilupt
Sita ka viyog unhe gaya fir das
Niyati ke aage hue Ram bhi vivash
Samay gaya beet, Luv-Kush ko tha paala
Saalon tak Ram ne tha raj ko sambhala
Hari mein samana tha Ram avatar ne
Poori hui leela Ram ki sansaar mein
Sarayu mein jal samadhi li Ram ne
Aaj bhi amar unka ye naam hai
Leela ye Hari ki jaanta harek
Siya aur Ram japte anek
Bhoolok mein alag hue Siya aur Ram
Baikunth mein hue fir se wo ek
Bol Sia pati Ram Chandra ki Jai
Hum katha sunate Ram sakal gundham ki
(Main teeno loko ke swami, amit tejasvi
Raghukul shiromani, bhagwan Shree Ram ka doot hoon)