Narci
Deewani Meera
LYRICS
[Intro- Nilesh Mishra's Voice]
Aur Kanha ke sath unka rishta....wo to amar hai

[Verse- Narci]
Main Meera ke geeton mein dooba, wo doobi Girdhari mein
Uske swami, sakha, jeevan saare hi Murari hai
Bhakti ras ka gehna pehne firti hai deewani si
Jeet gayi virana aur Shyam pyaar mein haari hai
Geeton mein Meera ke jhalke Dwapar ki kahani
Parion pe hai chhaale, behta aankhon se hai paani
Wo naachi aise jaise maano raas kare Kanha sang
Kanha mein samaane ki ho jaise maano thaani
Manas se bairgaai par dil se to wo gopi hi
Kanha bina jeene ki na usne kabhi sochi hi
Kanha hai sahara, logon mein akeli wo
Duniya se judi na, duniya Kanha mein khoji hi
Dil mein udta panchhi uske Kanha ke khyaal ka
Geeton mein hawala uske rehta hai Gopal ka
Sagar uski bhakti ka na naapna aasan
Kanha mein wo doobi gehri jaise maano Dwarka
Meera ke geeton mein waisе swyam Hari rehte hai
Pagal aur deewani use chaltе raahi kehte hai
Logon se jo poocha maine kaun hai deewani
Log mujhe bole unhe Meerabai kehte hai
[Hook-Narci]
Deewani Meera, wo khud ko haar gyi Kanha tere pyar mein
Wo jaaye to jaaye kahan bin?
Deewani Meera, Deewani Meera
Deewani Meera, Deewani Meera
(Meera matwali hai, meera hai deewani
Wo shaym mein hi doobi, wo shyam ki deewani
Wo shyam koi hi chaahe, Shaym mein khoi
Shyam ke bina na kisi aur wo hoi)

[Verse- Narci]
Band karo aankehin, gaana suno
Meera ka dheere se aana suno
Meera ghume aas paas hi
Banke par deewana suno
Band karo aankehin, gaana suno
Meera ka iktara suno
Meera dekho saamne baithi
Meera ko dobara suno
Kanha ke kareeb khadi to kaise hogi gam ke paas?
Bhakti mein Meera ke dono nain pade hai nam ye khaas
Kanha uska jeevan, kuch bhi na khone ka darr
Meera se kya chheenoge, wo swyam bachi na swyam ke paas
Lok laaj ko kho ke naachi sau taano ki nok pe
Aanshu bhi bahati hai Girdhari ke viyog mein
Chor gayi wo aisa, na Meera mili kisi ko
Baithi hogi Kanha sang wo to Golok mein
[Outro]
Hum na to Meera ban sakte hai aur na hi Meera ko samjh sakte hai
Kyunki Meera ki bhakti aur prem hamari samjh se bahut door hai
Meera ne apna saara sansaar Krishn ke naam kar diya tha
Aur ant mein swyam Krishn mein sama gayi thi