[Intro]- Neelesh Mishra's voice
Hey Mahadev, har har Mahadev
Mere karmon ko tu hi dekh
Hey Mahadev, har har Mahadev
Sansoon mein tera hi ullekh
Bhoomika zaruri unki yugon ke vinaash mein
Devo ke ho dev fir bhi reh rahe Kailaash mein
Kashi se main leke chahe ghum loon Kedarnath
Par asal mein rehte, wo to meri saans mein
Paap se bhara mein praani unke aage kya dikhun?
Naam liye bina main chain mein bhi na tikun
Likhte mere praan jo, swyam sabke hai kavi
Likhna chaahun bhi to unkе baare mein main kya likhun?
Unke vaastе likhe jo bol bade gehre hai
Swyam Adiyogi sabki aastha mein thehre hai
Haath thaam bolte hai sath tere main khada
Bhagya kaise kaala hoga saath Kaal Bhairav hai
Gaata tere dhyan mein, na mere bas ki gayaki
Meri ye aawaz tera jaykara lagayegi
Teri hi kripa hai warna kaise uthti ye kalam
Paapi is jihva ne jo gaa di hai ye shayari
Hey Mahadev, har har Mahadev
Mere karmon ko tu hi dekh
Hey Mahadev, har har Mahadev
Sansoon mein tera hi ullekh
Tere naam ke bina ye bhakt saare aadhe ho
Dev aur asur tum dono ke aaraadhy ho
Sar jhuka ke bolun mera kuch nahi sansaar mein
Adinath meri in saanson ke tum maadhyam ho
Tere naam ke bina na maine kabhi baandhi aas
Kheenche jo adharm, rok lena Adinath
Hai kavi ye paataki, paapo se sachet hoon
Tum hi mera ho savera, tum hi meri aadhiraat
Likhi maine shayari ye reh ke tere paas mein
Likhe mere geet mein tu Bhole wo ehsaas de
Jo sune ye geet bas bole muskura ke
"Sun raha hoon geet main ye baith ke Kailash mein"
Gaata tere dhyan mein, na mere bas ki gayaki
Meri ye aawaz tera jaykara lagayegi
Teri hi kripa hai warna kaise uthti ye kalam
Paapi is jihva ne jo gaa di hai ye shayari
Hey Mahadev, har har Mahadev
Mere karmon ko tu hi dekh
Hey Mahadev, har har Mahadev
Sansoon mein tera hi ullekh