Narci
Radhe Govinda
[Achyut Gopi]
Bhajman Radhe (Radhe), Radhe (Radhe) Radhe Govinda
Radhe, Radhe, Radhe, Govinda (hey) X2

[Narci]
Golok se shuru kahani jo thi pahaucnhi Dwapar mein
Aaj bhi kahani teeno loko mein ye vyapak hai
Brahma ka sandesh liye Shridama bole Narad ko
Milunga mere prabhu se unke dhaam jaakar main
Param bade wo bhakt prabhu ke saaron mein mashoor they
Kashamakash mein prabhu khade par us kshan mein zarur they
Shyam jo rehte ek pal bhi na prem bhaav se kabhi alag
Bhakti mein doobe Shridama prem naam se door they
Naam prabhu ka japte they wo raat samay se praatah kaal
Naam kabhi na lena bhoole wo to apne trata ka
Goluk mein paunche to wo khud se pooche ek sawal
Prabhu se pehle goonj raha tha naam bhala kyun Radha ka?
Golok ke vaasi bole Radha hi to pyaar hai
Shyam ke shabdon ka to Radha hi aadhar hai
Radhe Radhe bol sabhi ke bhagy jaate poore chamak
Kanha hai 'gar kaavy-kala to Radha unka saar hai
Baatein sun hairaan they wo aur soche kaise baat rakhun?
Prabhu se pehle kyun hi bhala us Radha ka main naam japun?
Jinse chalti saari dhara main unhi prabhu ka sewak hoon
Bin Krishna ke main na bhala kisi aur se kaam rakhun
Naam bana tha Radha ka uske dil mein aatish
Zid bani thi Shirdama ki swyam badi hi aafat
Golok mein bol uthe they baat badi hi sahas se
Na prem bada hai bhakti se main kar dunga ye saabit
[Achyut Gopi]
Bhajman Radhe (Radhe), Radhe (Radhe) Radhe Govinda
Radhe, Radhe, Radhe, Govinda (hey) X2

[Narci]
Baatein sun prabu par dheere se muskaate hai
Aane waali leela ka ishara diye jaate hai
Parda daale aham bhakton ki bhakti pe jab
Aham ke nivaaran ko wo leela lekar aate hai
Khel ke wo leela hi Shridama ko baateynge
Bhakti aur prem ka wo antar leke aayenge
Prem ki jis taqat se Shridama tha anjaan
Prem ki paribhasa ko wo leela se samjhayenge
Prabhu bole saaro ko thos koi kaaran do
Bhakti badi prem se ye saaron ko udharan do
Leela samjha wo na unki, karne chala waisa hi
Aham sang uske muh se bhakti ka uchchaaran ho
Bola mere prabhu bin jag saara ye aadha hai
Staya hai wo swyam, aadhar nahi Radha hai
Prabhu na kavita, wo to swyam hi rachayita
Tum hi ye batao fir saar kaise Radha hai?
Radha ko wo roke liye svaabhimaanee vvani
Doori mere prabhu se hi theek hai tumhari
Radha ko to kheenche par swyam unke Shyam jab
Sakega na rok use jag mein koi praani
Radha tumne ek suni na, door chali meri baaton se
Hone waali door ho tum Golok ke vaadon se
Deta hoon main shaap tumhe ki virah ko tum dekhogi
Janmogi ki tum dharti pe par bina prabhu ki yaadon ke
[Achyut Gopi]
Bhajman Radhe (Radhe), Radhe (Radhe) Radhe Govinda
Radhe, Radhe, Radhe, Govinda (hey) X2

[Narci]
Saaro ke dilon tumne vytha bhaar sa bhar daala
Saaron ke saron pe ghume megh dukhon ka bas kaala
Socha na parinaam tumne kya hoga is shaap ka
Shaap deke Shyam ko hi aadha tumne kar daala
Kos rahe they khud ko wo jab galti ka ehsaas hua
Zinda reh ke bhakt prabhu ye chalti firti laash hua
Bhakti ke abhimaan mein dekhi maine na Radha ki chhavi
Tut gya main saara aur pashchaataap ka graas hua
Shirdama ko bole Krishan bhaari man ko neeche rakh
Wajah chhupi hai gehri badi diye shaap ke peeche tak
Ishwar ko na khush karta hai bhakti ka abhimaan kabhi
Setu hai wo prem jo seedha aata ishwar tak
Sandesh kya hai wo Shridama jo saath tumahare aaya hai
Wo bole Brahma ji ne mujhe ko ye bataya hai
Leela samjhe saari, jaise hi Shridama bole
Mrityulok pe jaane ka samay prabhu ka aaya hai
Radha sab kuch bhoolegi bas isi baat ka bhaar pade
Paani leke aankhon mein wo Radha ka shingaar kare
Dharti pe sab jaanege kya hota saccha prem hai
Radha aur Krishna ke zariye saare saccha pyaar padhe
Dwapar ki leela bhi to prabhu ki marzi thi
Radha bhi taiyaar khadi dono aankhein bhar ke thi
Krishna ne unhe vida kiya, keh ke bas baat yehi
Dharti pe milunga main Radhe tumse jaldi hi
[Krishna- Sumedh Mudgalkar's vocie]
Uska mujhe bhool jaana hamare prem ki ek pariksha hai
Aur use jab sab kuch yaad aayega, mujhe us pal ki partiksha hai

[Achyut Gopi]
Bhajman Radhe (Radhe), Radhe (Radhe) Radhe Govinda
Radhe, Radhe, Radhe, Govinda (hey) X4