Narci
Mayapati
Ravan: To Mareech ab hum roop dharan kare?
Mareech: Haan
Ravan: O! ye roop to ati uttam hai hahahaha, is chhal ko nahi samjh paayega Ram

[Pujya Rajan Ji Maharaj]
Ram chale sone ke peeche dar dar thokar khaane
Ram chale sone ke peeche dar dar thokar khaane
Maya ka maareech chala, mayapati ko bhatakane
Maya ka maareech chala, mayapati ko bhatakane
Maya ka maareech chala, mayapati ko bhatakane
Maya ka maareech chala, mayapati ko bhatakane

[Narci]
Banne ko mrig dekho wo raazi hai
Ram hai Hari, jaane ye Mareech hai
Unke hi haathon, use leni hai maut
Tabhi to haran mein wo jaan ke shaamil hai
Sone ka bana hai dekho wo mrg
Gaya wo Siya ke aage bhi sheeghr
Maya mein fasi wo samjhi na khel
Siya ne paane ki thaani hai zidd
Boli prabhu se laa do wo mrig leke jo ghume sone ki kaaya
Bole prabhu tum samjhi na sita Panchavti mein dushton is maya
Wo na hai mrig, na hi paashu, na hi hai dev aur na hi sacchai
Karne ko bura yahan asuro ne sone ki ye maya rachai
Faso na maya mein aise Siye, deti na ye kabhi bhi laabh
Paane ki mrg par siya ke dil mein bujhi nahi hai moh ki aag
Kaise taale unki iccha yehi soche Ram bhi
Sunna to padega jo Siya ne hai maang ki
Kas ke thaama hath dhanush aur gati badai parion ne
Maareech bhala tum Ram baan se doori kab tak seh loge?
Aakhir mein to tumhe bhi marna swyam Hari ke hathon hi
Jeete jee to paap kiye par aaj puny pe thehroge
Aakhir mein to tumhe bhi marna swyam Hari ke hathon hi
Paap sabhi dhul jayenge Ram Ram jo keh loge
[Pujya Rajan Ji Maharaj]
Ram chale sone ke peeche dar dar thokar khaane
Ram chale sone ke peeche dar dar thokar khaane
Maya ka maareech chala, mayapati ko bhatakane
Maya ka maareech chala, mayapati ko bhatakane
Maya ka maareech chala, mayapati ko bhatakane
Maya ka maareech chala, mayapati ko bhatakane

Sita: Ye to ati sundar hai, ye saccha hai na? koi sapna to nahi hai?
Swami, mere liye is hiran ko nahi pakadenge? Itna sundar hiran to maine aajtak nahi dekha

[Narci]
Maya ka mareech hume deta yehi seekh
Sona kare saaro ke imaan ko baareek
Siya hi na bachi jab chhal se haan prani
Tere mere jaisa praani bolo kya hi cheez
Wo to swyam Hari hai jo jaane aane waala kal
Ram ne jo racha hai wo rahega sada atal
Ravan ka ye khel dekh niyati bhi boli
Swaym mayapati se wo karne chala dekho chhal
Bhaag bhaag ke mrig ke peeche Ram pahauche door tak
Ram ke nishaane se na chhal bacha hai door ab
Saad ke nishaana chora raam ne jo teer
Mareech ki maya ki hasti padi dhara pe choor ab
Mila tha khel mein maya ke is wo to bhala jaan ke tab
Ram ke hathon paane ko maut chuna tha usne jaan ke path
Janki ke paas gaya wo jaan ke ban mrig sone ka
Taaki mit sake haan megh uske to abhimaan ke sab
Paapo se azad hua, karmon ki bhi saza mili
Sankat ke nagaade par Panchvati bhi baja chali
Lanka ko vimaan gaya Jatayu ne bataya jab
Ravan ke vinash ki dekho Raghuvir ko wajah mili
Ram: Oh Jatayu, tum doshi nahi ho
Meri priya patni ko bachaane mein tumne to apne praanon ka moh hi chor diya