[Sheenu Jas]
Om Namah Shivay Om Namah Shivay
Har Har Bhole Namah Shivay
Namah Shivay Om Namah Shivay
Har Har Bhole Namah Shivay
Rameshvaray Shiv Rameshvaray
Har Har Bhole Namah Shivay
Rameshvaray Shiv Rameshvaray
Har Har Bhole Namah Shivay
[Narci]
Meri ki kya aukaat bhole kirpa ye tumhari hai
Kagazon pe kalam meri aaj bhi jo jaari hai
Kaat ke ye sar tujhe kya hi doonga Bhole?
Kaale se vichaaron se ye pehle se hi bhaari hai
Jaan meri ek prabhu, paap mere baavan
Aag mere seene mein Bhole tu hi saavan
Paap liye bhaari tera kya hi main deedar karun
Ram bhi na ban saka, na ban saka main Ravan
Adiyogi seene peeche bani teri chhavi
Duniya hai maaya, teri aastha hai sagi
Saans deta geeton ko main naam leke Bhole ka
Par chalti meri saanson ke to baithe wohi kavi
Raasta jo bhoola to tum hi to bataoge
Dukhon ke andhere prabhu tum hi hatagoe
Lena haan sambhal mujhe kaale is kaal mein
Chaand ko sambhala jaise aapne jataaon mein
[Sheenu Jas]
Jatadharay Shiv Jatadharay
Har Har Bhole Namah Shivay
Jatadharay Shiv Jatadharay
Har Har Bhole Namah Shivay
Om Namah Shivay Om Namah Shivay
Har Har Bhole Namah Shivay
Om Namah Shivay Om Namah Shivay
Har Har Bhole Namah Shivay
[Narci]
Naam liye bina tera maza nahi jeene mein
Tere hi hai kshan, din, saare hi mahine ye
Him ki dhara pe main prabhu jaaun let
Dharo pair Bhole tum daas ki hi seene pe
Gaata tere dhyan mein, na mere bas ki gayaki
Meri ye aawaz tera jaykara lagayegi
Teri hi kripa hai warna kaise uthti ye kalam
Paapi is jihva ne jo gaa di hai ye shayari
Adiyogi seene peeche bani teri chhavi
Duniya hai maaya, teri aastha hai sagi
Saans deta geeton ko main naam leke Bhole ka
Par chalti meri saanson ke to baithe wohi kavi
Kya hi samjhaunga main duniya is jhooti ko?
Lena haan sambhaal yadi aas meri tooti jo
Gale se laga lena Bhole mujhe aise
Gale se lagaya jaise aapne Vasuki ko
[Sheenu Jas]
Gangadharay Shiv Gangadharay
Har Har Bhole Namah Shivay
Gangadharay Shiv Gangadharay
Har Har Bhole Namah Shivay
Om Namah Shivay Om Namah Shivay
Har Har Bhole Namah Shivay
Om Namah Shivay Om Namah Shivay
Har Har Bhole Namah Shivay
[Narci]
Raasta jo bhoola to tum hi to bataoge
Dukhon ke andhere prabhu tum hi hatagoe
Lena haan sambhal mujhe kaale is kaal mein
Chaand ko sambhala jaise aapne jataaon mein
Raasta jo bhoola to tum hi to bataoge
Dukhon ke andhere prabhu tum hi hatagoe
Lena haan sambhal mujhe kaale is kaal mein
Chaand ko sambhala jaise aapne jataaon mein