RJ Khan
Ghurbat
[Intro]
Ah!
(It's RJ)
(Next Chapter)

Kyun lagta hai ghurbat mein koi saath nahi hai?
Zindagi me ab kuch...
Khaas baat nahi hai?
Ye bura waqt bhi na kuch dinon ka hi hai yaaron
To zara kuch waqt...
Sang iske bhi to guzaaro

[Verse 1]
Aaj hai jo vo kal nahi rahega
Jise bolte ho hard, vo pal nahi rahega
Rokne vaale bhi rokte rahenge tujhe tab tak
Jab tak tu atal nahi rahega

Sapno ko apne tu na bhul
Chinta karna ab chhod fizul
Laga mehnat ka fourth gear
Success se apni uda de dhul

Waqt ko bana tu apna gawah
Ban ja aandhi, na ban hawa
Fizul me ab aansu na baha
Ab aa gaya time kuch karke dikha
Tera talent hi to teri pehchan hai
Kya hua jo teri pocket me na jaan hai
Waqt kharab chal raha hai tera?
Abe ye bhi kuch hi dino ka mehmaan hai

[Chorus]
Ghurbat hai ye milte hain isme...
Duniya ke taane
Par tu tab tak na harega...
Jab tak tu haar na maane
Tu tab tak na harega...
Jab tak tu haar na maane

[Verse 2]
(Ah ah!)

Alag banna hai to soch bhi alag rakh
Kal ki hai jannat aaj ka ye dojakh
Bright future, hai tera ye haq
Sabhar ka fal mitha hota hai...
Uska bhi swad chakh

Lamba hone vaala hai tera safar
Obstacles ka na hone dena asar
Jee-jaan laga de, duniya hila de
Dekh baaki reh jaaye na koi kasar
Is daur se to guzre sitare bhi hain
Paayi manzil aur sabke pyaare bhi hain
Talent ke to inke baat na karo
Talent andar vo tumhare bhi hai

Time aane me inke lamhe beet gaye
Duniya ke saamne ban ye dheet gaye
Aaj vahi duniya karti izzat
Mehnat se ye apni duniya jeet gaye

Ye line meri ab gaur se suno
Duniya me tum bhi dheet bano
Mehnat se tum success ko jano
Tere liye nahi bana koi shabd 'No'

Kyunki waqt hai, waqt ke saath bit jayega
Aur karega karam to fal bhi payega
Sitaaron me tujhko bhi gina jayega
Isi ghurbat ka pal tab tujhe yaad aayega

[Chorus]
Duniya ko galat saabit kar pesh...
Mehnat ke nazraane
Tu tab tak na harega...
Jab tak tu haar na maane
Tu tab tak na harega...
Jab tak tu haar na maane
Depression aaye jab bhi sun lena RJ ke gaane
Tu tab tak na harega...
Jab tak tu haar na maane
Tu tab tak na harega...
Jab tak tu haar na maane
Tu tab tak na harega...
Jab tak tu khud se na haare

[Outro]
(It's RJ)
(Next Chapter)
(There you go)

"Jab har koi badal sakta hai, is badalte waqt ke saath...
To khud bhala waqt kya cheez hai?
Ye bhi badlega saala ek din"
(Trust on yourself)