RJ Khan
Hinoyat (Rehem Karde)
[Intro]
(Ah!)
(It's RJ)
(Ummon)
(I'm really sorry if I'm spoilin' this one)
[Rap 1]
Zindagi meri tere naam kardi
Kadmon me tere saari khushiyan rakhdi
Wafa ki ummed nahi fir bhi
Kadar na kare meri mohabbat ki
Mohtaaj hai bas kuch din ki
Kuch aisi chal rahi hai meri zindagi
Dil ka mere thikana nahi
Inteqal mera ab hoga sahi
Rutha lagta hai khuda mujhse
Jo tujhko kiya hai juda mujhse
Hai meri saari wafa tujhse
Par tu hi hai khafa mujhse
Wafa tujhse mere jeene ki
Par ab tu wajah hai peene ki
Zaroorat nahi nagine ki
Thandak thi tu mere sine ki
[Verse 1]
Jeene ki ab khwahish nahi hai
Ghum ki baarish ho rahi hai
Pyaar jise kehte hain ye vahi hai
Jo bhi hi raha lage sahi hai
Samasya isse bhi badi hai
Imtehan ki ye ghadi hai
Maut darwaze pe hi khadi hai
Par mohabbat meri zid pе adi hai
[Pre-Chorus]
Rehem karde, rеhem karde
Thoda sa mujhpe rehem karde
Karam karde, karam karde
Dur mera tu vehem karde
[Chorus]
Rehem karde, rehem karde
Thoda sa mujhpe rehem karde
Karam karde, karam karde
Dur mera tu vehem karde
(Ah!)
(It's RJ)
(Ummon)
(That's what the true love is)
[Rap 2]
Raatein meri bheegi bas teri yaadon mein
Gazab ka jadoo tha teri baaton mein
Khud likhne chale the jise hum
Vo lakire simat ke reh gayi haathon mein
Baaton mein lagti teri kami hai
Aankhon me meri bahot zyada nami hai
Tu gussa ho jaati jab bhi
Khisak jaati meri zameen hai
Bani hai duniya ki rit yahi
Milegi sacchi preet nahi
Dhund lena tu RJ ko
Mere jaisa pyaar nahi milega kahin
Yahin pe hone wali abhi qayamat hai
Daro mat ye khuda ki adalat hai
Der hai par andher nahi
Tere jaison pe na hoti himayat hai
[Verse 2]
Banawat hai kaisi is dil ki
Yahi to jad hai is mushkil ki
Saath shuru kiya tha jo safar
Lod nahi uski manzil ki
Bakhuda itna zulm kar mat
Wafa karne me itna dar mat
Ghaddari me teri hai azmat
Kar mat mujhpe aisi Hinoyat
[Pre-Chorus]
Rehem karde, rehem karde
Thoda sa mujhpe rehem karde
Karam karde, karam karde
Dur mera tu vehem karde
[Chorus]
Rehem karde, rehem karde
Thoda sa mujhpe rehem karde
Sharam karle, sharam karle
Thodi si to sharam karle
(RJ)