RJ Khan
Kalaakaar (Nineteen)
It's PnK
[Chorus]
Mai baatein ye kaise bataun
Jo baatein hai dil mein dabaun
Mai hasta sa chehra dikhaun
Ya apne ye aanshu chhupaun (×2)
[Verse 1]
Mujhe keh do bura, mujhe Qubool hai!
Mujhe dedo saza, mujhe Qubool hai!
Bas itna mujhko bata do
Aisa kya kiya khata, kya bhool hai?
Han?
Mujhko mujhse mila do
Mera khoya roop dila do
Pehle jaisa bhi tha bas
Mujhko tum waisa bna do
Mujhko na khabar hai
Mai kya Zindagi mein kar rha
Dekhne mein Zinda hoon par
Andar se main mar rha
Failure se darta na
Aaj khud se hi mai dar rha
Mai kaise ye bataun ki Mai
Khud mein khud se lad rha
[Chorus 2]
Wooo...hoohoo....
Wooo....hoohoo...
Kyun Hua mai khud se judaa
(Judaa)
Wooo...hoohoo....
Wooo...hoohoo....
Ye mujhko kya hai huaaa
(Huaa)
(×2)
[Verse 2]
Mann lagta nahi padhai mein
Ghar waalon ko thi ye khabar
Kehte kya bolenge log
Jo famous na hua agar
Maine samjhaya ki aap bas
Kar lo thoda sabar
Aur bhaad mein jaaye log
Mujhko ghanta na unki fikar
Mujhe keh do looser, mujhe Qubool hai!
Mujhe keh do loafer, mujhe Qubool hai!
Par duniya waale kya sochenge
Ye sab baatein fizool hai
Han!
Mujhko haq dila do
Mera soya luck jaga do
Mera bura sochne waalon ko
Middle finger up dikha do
Udaas nahi tha mai bas mai
Khud se naaraaz tha
Aage thi manzil par na
Dikha tha mujhko raasta
Galat cheezon se
Rakhne laga tha Mai vaasta
Ab bas rakhna khud pe bharosa
Aur talent mein Aastha.......
[Chorus]
Mai baatein ye kaise bataun
Jo baatein Han dil mein dabaun
Mai hasta sa chehra dikhaun
Ya apne ye aansoo chhupaun
Yeah!
Banarasiya!