Hasan Raheem
Sun Le Na
Khud garzi ki shakhein jo chaleen dobara
Tum sab kay hokay daikhlo koi nai tumara
Qabooliyat ki gharian kabhi bhi ajati hain na
Haath uthaye rakhna tum na bhool jaana
Majboori kay mauqon main baitha hun main akaila
Sar phira mera arsay say nai daikha main sawaira
Ashkon kay anbaar lag chukay thay
Qadar unhi ko jo rul rahain hain

Main eham tha
Yehi weham thaa
Thora sa tou meray rab
Tu reham kha

Main eham tha
Yehi weham thaa
Thora sa to meray rab
Tu reham kha

Sun le na
Ye iltija
Ae khuda
Tu sun le na
Sun le na
Ae Khuda
Main badguman
Tu sun le na
Sabar kay meray paimanay
Jal chukay hain ab saarey
Kaisi ye teri khalqat hai khuda
Kay bandish main saarey saaye
Dhoondta raha tuje main
Khwab laikay apney saarey
Na mila koi jaam teri rehmaton ka
Nafs beqbaboo dil mera ye lal-kaare
Ye jaal zindagani kay kab tak samaitun main
Is haal main nai jeena kis dar ko peetun haan
Main baaz atay thak chuka meray khuda
Tu sun le na sun le na
Ab burai ka daira ghar ghar sa lagta
Main suna kay chorunga apna tareeqa
Main baaz atay thak chuka meray khuda
Tu sun le na tu sun lena

Main eham tha
Yehi weham thaa
Thora sa to meray rab
Tu reham kha

Main eham tha
Yehi weham thaa
Thora sa to meray rab
Tu reham kha
Sun le na
Ye iltija
Ae khuda
Tu sun le na
Sun le na
Ae Khuda
Main badguman
Tu sun le na