[Intro]
Yeah, yeah
[Verse 1]
Tarike boht saare jeene ke
Pyaar hi toh maanga hai, de do toh, war lete seene pe
Maut se hai pyaar aur hai darr lagta jeene se (Jeene se)
Maange toh de do na, na diya toh cheenenge (Cheenenge)
Sunenge sabki par mann ki hum karenge
Aage badhenge jab log dekh ke jalenge (Hhhaha)
Jab log dekh ke jalenge
Chalo hisaab kare, baato se haatho me rakhte hai dum (Wuu)
Nikaal fenka gussa kalam sе kitaabo pe
Jahan pe tum baat karre laakho kе
Waha pe hum soche ki sabko hi marna hai raakh hoke
Shabdo me dum rakhe, darte na laafo se
Darte hai wo jo na mann se hai saaf hote
Rokda toh kab ka ghamand hai, khokhla dimagh rakha mokle pe
Mil kabhi shaant hoke
Nagpur me Ijjaat hai kamayi tune kitni (Wuu)
Khaap le apne hi andar ki garmi
Tu jhaank le zindagi mujh jaisa kiski toh
Khaste reh jaayega, rakhega faasle
Haasil hai karna sab saath kaun hai pata ni
Tabhi toh Ijjat hun karta mai kala ki
Pata ni kab tak ye saath rahe log
Par aakhir tak zinda rakhegi ye kala hi
Damn, chillati ye soul
Chidakte hum jaan aur tum karte jhol
Gharwaale kuch dost aur kuch sunne waale
Baaki kisi ka bhi dikhta nai role
Akad tere ghar pe tu rakh ke karna baat
Khoon nikle na jab tak mann na hota shaant
Jawaab dete munh pe na puchte sawaal
Sapne hai toote jaise foot'ti hai kaanch
Bhen se hai pyaar, tabhi Ijjat hai raakhi ki
Chota ni hota koi maangne se maafi bhi
Jisko andekha kiya tune raaste pe wo bacchi do din se toh bhookhi aur pyaasi thi
Sabki hai parwah na sochenge aage ki
Sach mere saath toh taiyaari hai faasi ki
Naari na lagti kamzor kyun ki usme hai laxmi na paisa par raani wo jhaansi ki
[Chorus]
Masle pe masla hai
Masle pe masla hai
Masle pe masla hai
Masle me zindagi
Masle pe masla hai
Masle pe masla hai
Masle pe masla hai
Masle me zindagi
Masle pe masla hai
Masle pe masla hai
Masle pe masla hai
Masle me zindagi
Masle pe masla hai
Masle pe masla hai
Masle pe masla hai
Masle me zindagi
[Verse 2]
Kab aari, kab aari (Wuu)
Sab ruke chote
Soche apni baari kab aari
Kab aari
Mazaa ni, mazaa ni (Wuu)
Zindagi me bina hase rehne me bhi mazaa ni mazaa ni
Aasan nahi, aasan nahi (Wuu)
Haan kisko pasand mehnat yahan pe sabko pasand aasani-aasani
Azaadi, azaadi (Wuu)
Haan mili saalo pehle phir bhi chote apan azaad nahi, azaad nahi