[Verse:1]
Ankhe laal hai, ab kaali raat ho jaayegi
Dard likhne baithu shayari ho jaayegi
Jitni dur meri baat jaane waali hai
Utni door inki soch bhi nahi jaayegi
Mujhe girane ki firaak me ye baithe hai
Rehbar sirane chirag liye baithe hai
Puchte hai maine dekha kya hai jindagi mai
Meine jannat ke janaje uth te dekhe hai
Mere hum-dard mujhpe dard-o-julm kare
Dua khuda se ke unke darjo ko buland kare
Sikandar jaise kabar ka thikana nahi hai
Banda mitti ka kis baat ka ghamand kare
Khaane se jyada namak jakhmo pe tha
Yakeen gairon pe, shak apno pe tha
Khush hua jab dekha laut te Iqbal ko
Nahi wo lauta nahi, mai sapno me tha
Tarbiyat pe meri yeh sawaal kar rahe hai
Mere urooj pe, dua-e-zawaal kar rahe hai
Dub jaati thi kashti meri kagaz ki
Aaj kagaz bhi mere kamaal kar rahe hai
Beghar mai, bhula maa ke haaath ke jaayke
Behan deti fir bhi sadke apne bhai ke
Dost kehte mai to yaaro ka bhi yaar hu
Aur ladke baitha mai khud apne bhai se
Manzil pe thi maut mai darta kaise
1200 ki job karze adda karta kaise
Mai Joker jaise hasta taklif me bhi
Mere andar ka ye adaakaar marta kaise
Mera jikar band karo mai koi aayat nahi hu
Duniya farebi, mai khud wafa ke layak nahi hu
Sawal chalenge toh haath inke kaapenge
Decade mera hai mai ek din wala Nayak nahi hun
[Hook]
Inki nafrat ka bahana ban gaya hu
Hasa kar kitno ka sahara ban gaya hu
Tootne pe inki khawaaish hogi puri
Sahi kehte mai sitara ban gaya hoon
Inki nafrat ka bahana ban gaya hu
Hasa kar kitno ka sahara ban gaya hu
Tootne pe inki khawaaish hogi puri
Sahi kehte mai sitara ban gaya hoon
[Verse: 2]
Apne bachpan ko mai sikko me hi tol aaya
Apni raahato ko piche kahi chor aaya
Khusbu sab me pehchanta mai nasal kaise
Gaya phool lene kaate saare tod laya
Mai Sher, ye saare mujhko shayar kehte
Mein to hu raakh yeh fir bhi mujhko fire kehte
Fikar me janta kehti mar jaayega re tu
Dekh mera time aaya mujhko sab muraad kehte hain
Maut mukkmal mai darne wala nahi hun
Joh jung haq hai mai ladne wala wahi hoon
Taaliyo se jab tak bhar na dunga stadium
Kasam khuda ki mai marne wala nahi hu
Bina wajah inka jalna mujhpe aam hai
Khair puchte hai jab hota koi mujhse kaam hai
Chillar jaise bajte aas paas mere yeh
Inki akkalon se bhi mote mujhpe daam hai
Bartan beche to ghar pe mere meal aaya
Woh bole chor jab khilauna mai chin laya
Khelta tha Kho Kho aaj khoke me khelt hoo
Nikla qaid se, karke lock crore ki deal aaya
Seedi pe chadha tu rokne ko saanp la
Bewajah dadagiri nahi, jaa apna baap la
Aaj sanki doglon pe aag likhdu
Sohail kanhi se jaake fire proof panne la
Kala yeh dekh meri yeh saare hakke bakke rehte
Hai 200 fan page idol mujhko hug se kehte
Hasakar kitno ko abaad kiya hai meine
Yeh baat mai nahi yeh baat mere views kehte
Woh tha tufaan jo dastak deke aaya tha
Akela tha laga lashkar leke aaya tha
Puchnege kiski hai lohe jaisi legacy
Kehna wo Dongri wala aag leke aaya tha
[Hook]
Inki nafrat ka bahana ban gaya hu
Hasa kar kitno ka sahara ban gaya hu
Tootne pe inki khawaaish hogi puri
Sahi kehte mai sitara ban gaya hoon
Inki nafrat ka bahana ban gaya hu
Hasa kar kitno ka sahara ban gaya hu
Tootne pe inki khawaaish hogi puri
Sahi kehte mai sitara ban gaya hoon