[Tag:]
Aye, yo, Audiocrackerr
[Intro]
Saamne khauf, haath me note, zindagi maut ka kua hai
Aankhein khol, aankhein khol, neend bhi
[Verse 1]
Wo bole paisa bolte, toh ussi se mai baat karun
Life is a bitch, toh mai unka dalla banu
Mere baap ne kiye the kaafi paap
Utha baap se vishwas, mai na chahta ke mai kabhi bhi ab baap banu
Abhi bhi mai bachpan ko yaad karun
Aaj bhi mai khada mere kagaj ke jahaaz par hun (Jahaaz par hun!)
Meri negative image ko mai saaf karun
Meri zindagi ke photograph ka mai khud photographer hun
Rapper nahi, mai hun achaeologist
Kyunki hamesha mai khoda apne past karun (Past karun)
Meri keemti cheezein mai chhod ke chala jata hun
Mujhe lagta mai gaya apni maa par hun (Sshh)
Kabhi bhi na usse mulaqat karun
Khushi me mai punya or dukh me mai paap karun (Paap karun)
Par i don't give a fuck
Mai rehta kaafi chill jaise paani ko peeta mai Polo Khakar hun (Aanh!)
Chaal chalo mere khilaf chaal chalo
Farak ni padta chahe khilaf hajaar jan ho
Yeh launde kar sakte hai mere bal bhi bakha
Par sirf or sirf agar ye barber ho (Hnnnnhhh)
Mai bhlai ka sochta tha sabke par bas
Ab jo karna hai karo, jao gaand marao (Gaand marao)
Mai or meri acchai ab saath me nahi rehte
Jaise apple ke iPhone or charger ho
[Chorus]
Saamne khauf, haath me note, zindagi maut ka kua hai
Aankhein khol, aankhein khol, neend bhi maut ki judwa hai
Saamne khauf, haath me note, zindagi maut ka kua hai
Aankhein khol, aankhein khol, neend bhi maut ki judwa hai
[Verse 2]
Dil pe the jinke zakham
Gaano ne kam kiya mere soframycin waala
Hatero ko nail cutter ki jaroorat nahi
Har baar moment laata mai nail biting waala
Vibe lage studio me fighting waala
Mic ke saamne har punch mera tyson waala
Haatho me seedhi tarah deta nahi naseeb koi cheez
Mere naseeb ko bolo turkish Ice-cream waala
Buri chizo ki lagi thi mujhe latt
Jua khela mai recover karne mere loss ko (Loss ko)
Barbaad hua paisa har baar mera
Jaise mai 6 saal gaya tha padhne moscow (Moscow)
Kya mai bhi dhichik dhichik waale gaane banau?
Jo bina matlab karte milli cross ho
Gaano me ladkiya chahiye chaaro aur jo
Toh mujhe paani puri waala koi stall do (Hhnnnhaa)
[Bridge]
Jab ghar pe tha baitha mai bankrupt hoke
Tab khaane ke waande the do waqt ke time (Do waqt ke time)
Aaj gaane se aate hazaro hai khaate me
Samjha sab change hota over the time (Yeah)
Pehle tha baithke banata plans mai
Galat se dhandho ka jo laade cash
Par cancel kara har baar zameer ne mere
Usse lagte the shayad wo goa ke plans
[Chorus]
Saamne khauf, haath me note, zindagi maut ka kua hai
Aankhein khol, aankhein khol, neend bhi maut ki judwa hai
Saamne khauf, haath me note, zindagi maut ka kua hai
Aankhein khol, aankhein khol, neend bhi maut ki judwa hai
[Outro]
Saamne khauf, zindagi maut ka kua hai
Neend bhi maut ki judwa hai
Saamne khauf!