MC INSANE
Its Okay to Cry
[Intro]
Its okay to cry
Kabhi kabhi rona bhi jaruri mere bhai

Its okay to cry
Rula deti he sabko ye majburi mere bhai

[Chorus]
Its okay to cry
Kabhi kabhi rona bhi jaruri mere bhai

Its okay to cry
Rula deti he sabko ye majburi mere bhai

Its okay to cry
The aanshu jo bahe mere kitaabo me sajaye

Its okay to cry
Koi bhi apni dil ki baatien dil me na dabaye

[Verse 1]
Tujhe kisi ki jarurat nai he teri zindagi he
Hasna do pal do pal rona hi to zindagi he
Do pal ka ye safar do pal ki ye zindagi he
Jo khulke na hum bole to ye kesi zindagi he
Keh dena sab marna nai tum ghut ghut ke
Ye kehna waala hi nai saath deta sukh dukh mе
Tera lesson hi he chhupa tеre bhool chukh me
Milegi tujhe teri kamiyabi ruk ruk ke
Na jeet ki khushi par mujhe haar ka he gum
Milta pyaar pura bhale gaane deta kum
He baarishon ka mausam tabhi chand taarien kum
Tere aashiqi ki wajah se hi jaane jaa rhe hum
Chamde ka ye ghar iski soul ja rahi he
Kuch he bhi iske andar to na bol rahi he
Kya itna sunke bhi tu jaana so pa rahi he
Ye sochte hue bhi mujhe maut aa rahi he
Koi jaan na de mere liye par me dedu jaan
Humesha nahi saath dete do din ke mehmann
Hu bana main kaafir kabse dekha ni makaan
Aashiqui me dekha jaake sabse upr mera naam
Ladka ho ya ladki dono feel karte he
Wo rote he fir khudko heal karte he
Tum kya mere jaane ka sach me afsos krte ho
Tum mujhe bhi to keh sakte ho kaha dost ko hi kyu
Jab rahe teri meri he alag to sochna he kyu
Me raho me ni milunga teri ye sochna ni tu
Dil chahta he tujhe kehne se darta hai magar
Tabhi subah shaam dhunde tujhe thake na nazar
Rota hua aatma kamjor nahi he
Log kaafi saarien magar shor nahi he
Apne faisley ko leke har koi sure nahi he
Hu me sure jeetu par jaana meri ye daudh ni hai
[Chorus]
Its okay to cry
Kabhi kabhi rona bhi jaruri mere bhai

Its okay to cry
Rula deti he sabko ye majburi mere bhai

Its okay to cry
The aanshu jo bahe mere kitaabo me sajaye

Its okay to cry
Koi bhi apni dil ki baatien dil me na dabaye

[Verse 2]
Gharwaalo ne bhi mujhse kuch umeed rakhi he
Wo chahte khush mujhe tabhi duniya se doorin rakhi he
Maa kehti aaja teri favourate waali poori rakhi he
Kya duniya ki koi soch itna bhala soch sakti he?
Ghar se bhaga tha me bolke maa dikhunga tujhe
Main aaya nai wo mere likhe gaane roz padhti hai
Wo marke mujhe khudhi yu ro padti he
Wo maa he bure bhale me bol sakti he
Jo tujhe janam deke ro pada
To tujhe rone mai aati hai itni kiu haya
Itna tu samjh ki jo tu bol pata nahi
Aanshu tere beh ke sabhi karte he baya
Jyada rona kisi ki aadat bhi ho sakti he
Kamjori kyu ye teri takkat bhi to ho sakti he
Toot jaye puura esi haalat bhi to ho sakti he
Halaton se ladke jo mile mujhme wo shakti he
Samjha hi nahi tujhe main tareeka bolne ka
Tujhe dil me karke band bhula tareeka kholne ka
Teri baatein ake seedha mere dil pe lagi
Me sarfira sa jo dum ni rakh paya tujhe bolne ka
Ye aankhien karti he baatien aanshuon ko girake
Wo bahar aati khudme saara dard he milaake
Meri likhai saarien panno ko rulaade
Meri maa ke yaad me betha ro rha subah se
[Chorus]
Its okay to cry
Kabhi kabhi rona bhi jaruri mere bhai

Its okay to cry
Rula deti he sabko ye majburi mere bhai

Its okay to cry
The aanshu jo bahe mere kitaabo me sajaye

Its okay to cry
Koi bhi apni dil ki baatien dil me na dabaye