KALAM INK
Rooh
[Tag:]
Aye, yo, Audiocrackerr!

[Verse 1: Kalam Ink]
Khushi ka paani kehdu toh yahan sab kue
Darad naya purana aanshu yahan pe ho gaye
Tu hi bata dena ki kya kami thi ham me jaana
Tera tune na banaya
Khud ke bhi na ho sake
Main khud ko maazi rabb se bolu ke karam wafa de
Ye duniya jaisi hai waisi dikha bharam hata de
Suna hai maine ke ye duniya patthar poojti
Mai thak chuka hun tootke, rakam bata, patthar bana de
Thoda sa ro dun duniya kehti hai namard hai ye
Khushiyan bhi kehti iska chehra milta hai dard se
Jo duniya mujhko kehti
Agar mai wapas kehdu
Kya hi hona fayda, par unme mujhme farak hai ye
Dard ghule jaam me toh maza aata peene me
Dil inke khokhle ye patthar rakhte seene me
Ye waisi duniya nahi hai jaisi maa ne boli thi
Dil ni usko dunga maa wo dil hi mera kho degi
Khuda kya rokega sanak meri deewangi ki
Rehti mere saath thi wo tadap meri jaanti thi
She left me all alone ye kehke, tujh me bachpana hai
Par bachpane me bhi khushboo aati mujhse mardaangi ki, bitch!
[Verse 2: Fadi]
Yeah!
Fadi!
Aise bigde ke phir na sudhre
Jo jee me aaya wo kar hum guzre
Ek ek kar ke sab rabb ne le liya
Kyun na leta, hun the na-shukre
Wqat se pehle hum bade huye
Bachpan se bado'n ke saath khade huye
Na hoti agar ye khud-khushi haram
6 saal guzar chuke hote mare huye
Humara kitna gehra taluq usne mujhse pucha
Main bola uss se tann se hota hai jo rooh ka
Tum log ye na kaho jo rakh le munh humara
Kalakaar kasam se mare na koi bhookha
Wajah na bataye kisi ko apni muskurahat ki
Kar ke aise khushi, tabah karega tu baad ki
Jhooti baate banate jab aur kuch na sujhta
Pila baitha lahu tak, kehte paani bhi nahi puchta
Shareek-e-haal, koi na mera, koi na karta if'fa
Hum wafa karte rahe, aur woh karte rahe jafa
Mat do ye dawayein hum pe bilkul be-asar hai
Usks jhootha paani lao, mujhe hogi uss se, shifa