Mehroom hue din
Yeh raatein gawaah hain
Hai kam yeh khushi kya
Yeh kaise imtehaan hain
Dar badar har shaks dhoonde
Zindagi jo laapata hai
Sun sake na bas koi deeware darmiyaan hai
Aarzoo dhoonde khushi ke thikaane
Lavzon mein kaid zindagi ke chand bahaane
Aarzoo dhoonde khushi ke thikaane
Lavzon mein kaid zindagi ke chand bahaane
Avaaz de mujhe oh mere azeez
Kayaamat si yeh shaam jab dhale
Tham gaya hai har koi
Ki neendein rusva hai
Doobti hai pal pal hasrat
Yeh kaise ab makaam hai
Ghum hai
Chup hai
Sar zameen ke rakhwaale
Nishaane manzil ka mujhko tu ab pata de
Avaaz de mujhe oh mere azeez
Kayaamat si yeh shaam jab dhale
Is mausam kе toofan kab honge kinaare
Shayad kal naya ho toh phirse muskuralе
Shayad kal naya ho toh phirse muskurale
Shayad kal naya ho
Shayad kal naya ho toh phirse muskurale