Abhijeet Sawant
Mohabbatein Lutaaunga
[Intro]
Mohabbatein lutaunga
Main chhed ke mann ka saz-saz phir gaunga
Phir sab ke dil ko aaj-aaj behlaunga
Iss manzar ko, iss pal ko bhul na paunga
Main bhul isse na paunga

[Verse 1]
In lamho ka mujhe kabse intezar tha
In khushiyo ke liye kabse bekarar tha
Manzil milegi mujhe pura aitbar tha
In palko mein dekhe sapne hazar
Dur tak jaunga

[Chorus]
Iss manzar ko, iss pal ko bhul na paunga
Iss manzar ko, iss pal ko bhul na paunga
Main bhul isse na paunga

[Instrumental-break]

[Verse 2]
Kitna suhana sa ye apna safar hai
Aap ki duaon ka sara asar hai
Aap ka hai sab kuch, aap ko nazar hai
Aap ki inayato pe yaar bar-bar
Sar ko main jhukaunga
[Chorus]
Iss manzar ko, iss pal ko bhul na paunga
Iss manzar ko, iss pal ko bhul na paunga
Main bhul isse na paunga

[Instrumental-break]

[Verse 3]
Bikhre hain charo taraf rang dosti ke
Arman pure hue sab zindagi ke
Akhiyo me bhar aaye aansu khushi ke
Barsa ke aansuo ki meethi-meethi dhar
Aap ko hasaunga

[Chorus]
Iss manzar ko, iss pal ko bhul na paunga
Iss manzar ko, iss pal ko bhul na paunga
Main bhul isse na paunga

[Outro]
Mohabbatein lutaunga
Main chhed ke mann ka saz-saz phir gaunga
Phir sab ke dil ko aaj-aaj behlaunga
Iss manzar ko, iss pal ko bhul na paunga
Main bhul isse na paunga