Mohammed Rafi
Mera Dushman Tu Meri Dosti Ko Tarse
Mere dil se sitamgar toone achchi dillagi ki hai
Ke banke dost apne doston se dushmani ki hai
Mere dushman tu meri dosti ko tarse
Mere dushman tu meri dosti ko tarse
Mujhe gham dene wale tu khushi ko tarse
Mere dushman

Tu phool bane patjhad ka
Tujhpe bahar na aaye kabhi
Meri hi tarah tu tadpe tujhko karar na aaye kabhi
Tujhko karar na aaye kabhi
Jiye tu is tarah ke zindagi ko tarse
Mere dushman tu meri dosti ko tarse
Mere dushman

Itna to asar kar jaayein meri wafayein o bewafa
Ik roz tujhe yaad aayein apni jafayein o bewafa
Apni jafayein o bewafa
Pasheman hoke roye, tu hansi ko tarse
Mere dushman tu meri dosti ko tarse
Mere dushman

Tere gulshan se zyada veeran koi veerana na ho
Is duniya mein koi tera apna to kya begana na ho
Apna to kya begana na ho
Kisi ka pyar kya tu beruki ko tarse
Mere dushman tu meri dosti ko tarse
Mujhe gham dene wale tu khushi ko tarse
Mere dushman