Mohammed Rafi
Likhe Jo Khat Tujhe
[Intro]
Likhe jo khat tujhe
Hazaaro rang ke nazaare ban gaye

[Chorus]
Likhe jo khat tujhe wo teri yaad mein
Hazaaro rang ke nazaare ban gaye
Saveraa jab hua to phool ban gaye
Jo raat aayi to sitaare ban gaye
Likhe jo khat tujhe

[Verse 1]
Koi naghma kahi gunjaa, kaha dil ne ye tu aai
Kahi chatki kali koi, main ye samajha tu sharamai
Koi khushboo kahi bikhari, laga ye zulf laharaai

[Chorus]
Likhe jo khat tujhe wo teri yaad mein
Hazaaro rang ke nazaare ban gaye
Saveraa jab hua to phool ban gaye
Jo raat aayi to sitaare ban gaye
Likhe jo khat tujhe

[Verse 2]
Fizaa rangi, adaa rangi, ye ithalana, ye sharmana
Ye angdaai, ye tanhai, ye tarsa kar chale jaanaa
Banaa de na kahi mujhko jawaan jadoo ye diwana
[Chorus]
Likhe jo khat tujhe wo teri yaad mein
Hazaaro rang ke nazaare ban gaye
Saveraa jab hua to phool ban gaye
Jo raat aayi to sitaare ban gaye
Likhe jo khat tujhe

[Verse 3]
Jahaan tu hai, wahaan main hoon mere dil ki tu dhadkan hai
Musaafir main tu manzil hai, main pyaasa hoon tu saawan hai
Meri duniya ye nazrein hai, meri jannat ye daaman hai

[Chorus]
Likhe jo khat tujhe wo teri yaad mein
Hazaaro rang ke nazaare ban gaye
Saveraa jab hua to phool ban gaye
Jo raat aayi to sitaare ban gaye
Likhe jo khat tujhe