Nikhil D’Souza
Lehrein
Khoyi-khoyi si hoon main
Kyun ye dil ka haal hai
Dhundli saari khwaab hai
Ulja har khayaal hai

Saari kaliyan murja gayi
Rang unke yaadon mein reh gaye
Saare gharaande reet ke
Lehrein aayi, lehron mein beh gayi

Raah mein kal kitni chirag the
Saamne kal phoolon ki bhaag thi
Kis se kahun kaun hai jo sune
Kaante hi kyun maine hai chune
Sapne mere kyun hai kho gaye
Jaage hai kyun dil mein gumm mere

Saare kaliyan murja gayi
Rang unke yaadon mein beh gaye
Saare gharaande reet ke
Lehrein aayi, lehron mein beh gayi

Kya kahun kyun yeh dil udaas hai
Ab koi door hai na paas hai
Choo le jo dil woh baatein ab kahan
Woh din kahan raatein ab kahan
Jo bhi dhakhal hai ab khawab sa
Ab dil mera hai betaab sa
Saari kaliyan murja gayi
Rang unke yaadon mein beh gaye
Saare gharaande reet ke
Lehrein aayi, lehron mein beh gayi, beh gaye