Shankar Mahadevan
Der Lagi Lekin
Der lagi lekin
Maine ab hai jeena seekh liya
Jaise bhi ho din
Maine ab hai jeena seekh liya
Ab maine yeh jaana hai
Khushi hai kya, gham kya
Dono hi do pal ki hai ruttein
Na yeh thehre na ruke
Zindagi do rangon se bane
Ab roothe, ab maane
Yehi toh hai, yehi toh hai yahan
Der lagi lekin
Maine ab hai jeena seekh liya
Aansunyon ke bin
Maine ab hai jeena seekh liya
Ab maine yeh jaana hai
Kise kahoon apna
Hai koi joh yeh mujh se keh gaya
Yeh kahan tu reh gaya
Zindagi toh hai jaise karavan
Tu hai tanha kab yahan
Sabhi toh hai, sabhi toh hai yahan
Koi sunaye joh hasti muskurati kahani
Kehta hai dil main bhi sunnu
Aansu bhi moti ho joh kisi ki nishani
Kehta hai dil main bhi chhunu
Baahein dil ki ho
Baahon mein hi chalta chalun
Yunhi raahon mein, bas yunhi
Ab yahan, kab wahan
Der lagi lekin
Maine ab hai jeena seekh liya
Aansunyon ke bin
Maine ab hai jeena seekh liya
Hai koi joh yeh mujh se keh gaya
Yeh kahan tu reh gaya
Zindagi toh hai jaise karavan
Tu hai tanha kab yahan
Sabhi toh hai, sabhi toh hai yahan
Sabhi toh hai, sabhi toh hai yahan
Sabhi toh hai, sabhi toh hai yahan