Roop Kumar Rathod
Sandese Aate Hai
[Chorus]
Sandese aate hai, humein tadpaate hai
Jo chitthi aati hai, wo poochhe jaati hai
Ke ghar kab aaoge? Ke ghar kab aaoge?
Likho kab aaoge?
Ke tum bin ye ghar soona, soona hai

Sandese aate hai, humein tadpaate hai
Jo chitthi aati hai, wo poochhe jaati hai
Ke ghar kab aaoge? Ke ghar kab aaoge?
Likho kab aaoge?
Ke tum bin ye ghar soona, soona hai

[Intrumental-break]

[Verse 1]
Kisi dilwaali ne, kisi matwaali ne
Humein khat likha hai, ye humse poochha hai
Kisi ki saanson ne, kisi ki dhadkan ne
Kisi ki choodi ne, kisi ke kangan ne

Kisi ke kajre ne, kisi ke gajre ne
Mahekti subahon ne, machalti shaamon ne
Akeli raaton ne, adhoori baaton ne, tarasti baahon ne
Aur poochha hai tarsi nigaahon ne
[Pre-Chorus]
Ke ghar kab aaoge? Ke ghar kab aaoge?
Likho kab aaoge?
Ke tum bin ye ghar soona, soona hai

[Chorus]
Sandese aate hai, humein tadpaate hai
Jo chitthi aati hai, wo poochhe jaati hai
Ke ghar kab aaoge? Ke ghar kab aaoge?
Likho kab aaoge?
Ke tum bin ye ghar soona, soona hai

[Intrumental-break]

[Verse 2]
Mohabbat waalon ne, hamaare yaaron ne
Humein ye likha hai, ke humse poochha hai
Hamaare gaaon ne, aam ki chhaaon ne
Puraane peepal ne, baraste baadal ne

Khet khaliyaanon ne, hare maidaanon ne
Basanti belon ne, jhoomti belon ne
Lachakte jhulon ne, behekte phoolon ne, chatakti kaliyon ne
Aur poochha hai gaaon ki galiyon ne

[Pre-Chorus]
Ke ghar kab aaoge? Ke ghar kab aaoge?
Likho kab aaoge?
Ke tum bin ye ghar soona, soona hai
[Chorus]
Sandese aate hai, humein tadpaate hai
Jo chitthi aati hai, wo poochhe jaati hai
Ke ghar kab aaoge? Ke ghar kab aaoge?
Likho kab aaoge?
Ke tum bin ye ghar soona, soona hai

[Intrumental-break]

[Verse 3]
Kabhi ek mamta ki, pyaar ki Ganga ki
Jo chitthi aati hai, saath woh laati hai
Mere din bachpan ke, khel wo aangan ke
Wo saaya aanchal ka, wo teeka kaajal ka

Wo lori raaton mein, wo narmi haathon mein
Wo chaahat aankhon mein, wo chinta baaton mein
Bigadna upar se, mohabbat andar se, kare wo Devi Maa
Yahin har khat mein poochhe meri maa

[Pre-Chorus]
Ke ghar kab aaoge? Ke ghar kab aaoge?
Likho kab aaoge?
Ke tum bin ye ghar soona, soona hai

[Chorus]
Sandese aate hai, humein tadpaate hai
Jo chitthi aati hai, wo poochhe jaati hai
Ke ghar kab aaoge? Ke ghar kab aaoge?
Likho kab aaoge?
Ke tum bin ye ghar soona, soona hai
[Intrumental-break]

[Verse 4]
Ae, guzarne waali hawa btaa, mera itna kaam karegi kya?
Mere gaaon jaa, mere doston ko salaam de
Mere gaaon mein hai jo wo gali, jahan rehti hai meri dilrubaa
Use mere pyaar ka jaam de, use mere pyaar ka jaam de

Wahi thodi door hai ghar mera
Mere ghar mein hai meri boodhi Maa
Meri maa ke pairon ko chhoo ke
Tu use uske beta ka naam de

Ae, guzarne waali hawa zara
Mere doston meri dilrubaa
Meri maa ko mera payaam de
Unhe jaake tu ye payaam de

[Outro]
Main waapas aaoonga, main waapas aaoonga
Phir apne gaaon mein, usiki chhaaon mein
Ki Maa ke aanchal se, gaaon ke peepal se
Kisi ke kaajal se, kiya jo waada tha wo nibhaoonga

Main ek din aaoonga, main ek din aaoonga
Main ek din aaoonga, main ek din aaoonga
Main ek din aaoonga, main ek din aaoonga
Main ek din aaoonga, main ek din aaoonga