Ghulam Ali
Soz e Gam De Ke
Soz-e-ġam de ke mujhe us ne ye irshād kiyā
Jā tujhe kashmakash-e-dahr se āzād kiyā
Iskā ronā nahīṅ kyūṅ tum ne kiyā dil barbād
Iskā ġam hai ki bahut der meṅ barbād kiyā
Wuh kareṅ bhī to kin alfāz meṅ terā shikwa
Jinko terī nigāh-e-lutf ne barbād kiyā
Dil kī choṭoṅ ne kabhī chain se rahne na diyā
Jab chalī sard hawā maiṅ ne tujhe yād kiyā
Ai maiṅ sau jān se is tarz-e-takallum ke nisār
Phir to farmāiye kyā āp ne irshād kiyā
Mujhko to hosh nahīṅ tumko ḳhabar ho shāyad
Log kahte haiṅ ki tum ne mujhe barbād kiyā
Kuchh nahīṅ is ke siwā Josh harīfoṅ kā kalām
Wasl ne shād kiyā hijr ne nāshād kiyā