Jaani
Zohrajabeen
Zohrajabeen
Zohrajabeen
Zohrajabeen
Zohrajabeen

Khoon Teri Yaadon Ke
Khoon Teri Baaton Ke
Khoon Teri Shamon Ke
Khoon Teri Raaton Ke

Khoon Mere Sapnon Ke
Khoon Meri Chahton Ke
Gaur Se Tu Dekh
Khoon Laga Tere Hathon Pe

Zohrajabeen Koyi Mehfil Nahi
Jis Mehfil Mein
Khoon Humne Thuke Nahi

Zohrajabeen Tere Aashiq The
Tere Aashiq Hain
Tere Pairon Ke Joote Nahi
Zohra Jabeen

Yeh Tu Kis Devte Ko
Baliyan Chadhaye Meri
Pata Nahi Lagta
Gardan Pe Vaar Ka
Tu Aur Tere
Shehar Ke Log Saare
Yaar Bana Ke
Khoon Peete Hai Yaar Ka

Jaan Koyi Murdon Mein
Phooke Nahi
Hum Tere Jaisa Yaar
Chhoote Nahi

Tu Hi Tha Jhootha
Hum Jhoothe Nahi
Zohra Jabeen

Koyi Mehfil Nahi
Jis Mehfil Mein
Khoon Humne Thuke Nahi
Zohra Jabeen

Tere Aashiq The
Tere Aashiq Hain
Tere Pairon Ke Joote Nahi
Zohra Jabeen

Aankhein Phod Deti Hain
Dil Nichod Deti Hain
Yaad Teri Dil Nahi
Haddiyan Tod Deti Hain
Tu Nahi Chhodta
Kisi Ko Yahan
Ik Ghar Toh Jaani
Chudail Chhod Deti Hai

Use Nahi Pata
Buri Bahut Hi Hoti Hai
Jigar Ke Aar Paar
Chot Hi Hoti Hai

Aam Koyi Hota Toh
Bach Jaati Zindagi
Shayar Se Bewafai
Maut Hi Hoti Hai

Mere Hi Saanp
The Paale Sanam
Mujhko Hi Chhod
Jaane Wale Sanam

Jaise Main Toota
Kaanch Toote Nahi
Zohra Jabeen

Koi Mehfil Nahi
Jis Mehfil Mein
Khoon Humne Thuke Nahi
Zohra Jabeen
Tere Aashiq The
Tere Aashiq Hai
Tere Pairon Ke Joote Nahi
Zohra Jabeen

Zohrajabeen!