Ikka
Amit Bhadana & Ikka - Parichay (Romanized)
[Intro: Amit Bhadana]
Jawala jaga andar
Kis baat se hai tang
Duniya se nahi
Khud se hai teri jung
(Byg Byrd on the beat)
(Byg Byrd on the beat)

[Verse 1: Ikka]
Beemar ho gaya tha
Laga maut thhi kareeb
Wo daur tha kuchh aisa
Wo waqt tha ajeeb
Jab ye laga tha lagne
Ki khota hai naseeb
Tab mila youtube
Aur khud mein believe
Middle class family
Par soch rakhi high
Aaj bhi hai yaad
Chacha ki sutai
Pitaji ka gussa
Uske pichhe ki duaye
Aaj bhi takleef to
Maa hi yaad aaye
Ha mujhse puchho
Kise kehte hain rona
Ha mujhse puchho
Kya hota hai khona
99 mein kho diya
Pitaji ko maine
Mujhse puchho hota
Kya hai pitaji ka hona
Mere chacha ji aur daadi
Bhagwan ke do roop
Chaav mein hai rakha
Na lagne di hai dhoop
Paal ke bada kiya
Bada diya naseeb hai
Naseeb wale hote jo
Apnon ke kareeb hai
[Chorus: Ikka]
Jo thi pehle nafrate
Jo thi pehle gaaliya
Aaj wo hain tareefe
Aaj wahi taaliya
Maine ki hai mehnat
Jo dekha maine paa liya
Youtube ke through naya
Parivar hai bana liya

[Verse 2: Ikka]
Chhoti Si Umar Mein
Ek Chhotu Mera Yaar Tha
Bat Ball Khelte
Wahi Mera Payaar Tha
Ghar Ki Garibi Ki
Wajah Se Sab Chhoda
Aaj Bhi Hai Yaad
Chacha Ne Jab Balla Mera Toda
Khel Kood Chod Jimmedariya Uthai
Sapnon Ko Chod Karne Laga Main Padhai
Tha Aata Taras Dekh Maa Ki Tanhai
Behan Baithi Ghar Pe
Jiski Sunni Thi Sehnai
School Mein Tha Maskhara
Sabko Tha Hasata
Band Kamre Mein Roya
Na Kisi Ko Jatata
Adhyapak The Bolte Ki Isko Na Padhana
Pankaj-Kaushal Bole Naam Hai
Ha Amit Badhana
18 Ka Ladka
College Mein Jaake Bhatka
Chakachaundh Mein Tha Kho Gaya
Jo Na Tha Main Wo Ho Gaya
The Jinke Dil Tode
Unse Maafi Hath Jod Ke
Jinhone Diye Dhokhe
Unhe Ram Ram Bol Ke
[Chorus: Ikka]
Jo thi pehle nafrate
Jo thi pehle gaaliya
Aaj wo hain tareefe
Aaj wahi taaliya
Maine ki hai mehnat
Jo dekha maine paa liya
Youtube ke through naya
Parivar hai bana liya

[Verse 3: Ikka]
Padhai mein na mann
Kuch bada tha karna
Jeb khali roti aakhe
Aur akela kamra
Aankho mein le aansu
Hasna maine seekha
Hasne ne sikhaya mujhe
Jeene ka tareeka
Angrezi gaanon pe
Kiye desi gaane mix
Dubbing sun logo ka
Payaar hua fix
Copyright pad gaya udd gaya content
Toot gaya dil bikhre the saare sentiment
Phir main khud video mein aaya
Content fresh tha maine banaya
Desi content jo des se juda
Cesi dekh desi sabka banne laga
Party mein mile kuchh bade youtuber
Udaya jinhone mera munh par mazak
Gussa main pee gaya wapas wahi gaya
Jahan tha avinash aur rohit ka saath
Maine kaam se diya
Naam waalon ko jawab
Sabke muhh band chukta hisab
11 million ka tay kiya fasla
Mere fans meri jaan
Mere fans mera haunsla
Fanfest jinke liye chhoda
Unhi ne dil toda
Ki dagabaazi mujhse
Mujhse andar se jhinjhoda
Fanfeast pe jaunga
Gale fans ko lagaunga
Pichhle saal nahi aaya
Maafi main chahunga
Jo mehnat se kamaye
Un fans pe hai naaz
Desh ki awaz chaar paanch dost khaas
Dost yaar kam par jitne lajawab
Poore kiye khud ke dum par
Jitne dekhe maine khwaab
[Narration 1: Amit Bhadana]
Kuch logo ka ye bhi kehna hai
Na to ye party karta hai
Na hi ye industry ke logo se milta hai
Main batata hu
Iss industry culture kuch aisa hai
Ye ugte suraj ko salaam karte hai
Jab mera bura waqt mere kaam ke liye tha
To mera achcha waqt bhi kaam ke liye hi hoga

(Byg Byrd on the beat)
(Byg Byrd on the beat)

[Chorus: Ikka]
Jo thi pehle nafrate
Jo thi pehle gaaliya
Aaj wo hain tareefe
Aaj wahi taaliya
Maine ki hai mehnat
Jo dekha maine paa liya
Youtube ke through naya
Parivar hai bana liya

[Verse 4: Ikka & Amit Bhadana]
Bachcho ke sath
Mummy papa ko hansaya
Gandh nai content parivar ek banaya
Phir bhi kaafi log bas
Gandh hi sarahate hai
Mere saaf content aur views
Jawab de jaate hai
Instagram admin mujhe rokna ye chahte
Par ye log meri soch kabhi rok nahi payenge
Jitna bhi laga lo zor utna laga lo
Par ye ugte suraj ko kabhi rok nahi payenge
Fb, insta admin ka bas kam
Kar na burai chand rupaye lekar
Na deen na imaan
Ye wo jo ghumnam
Phir bhi (kya ukhad liya itne paise dekar)
Mera vision clear, inka hai blur blur
Barsaati medhak saare kare tar tar
Bhole bhaale bachche bigaadte ho tum
Jaldi se utro ye bithayenge na sar par
Kuch anpadho ka kehna amit hai ganwar
Kyuki apni desi boli ka kiya hai prachaar
Jo kiya hai maine uska aadha bhi tu kar
M.A law ki degree aan sadd rahi hai ghar par
Angreji aati achche se tujhe sikha bhi du
Hindustan ki main mitti tabhi to hindi hu
Jo bhasha apni bolne mein sharmaate hai
Wo wahin hain thookte jahan wo khate hai
Kapde se jaati class nahi dekhi
Maine daali dariya mein karke kaafi neki
Ek hi hai aur ek hi rahega
Ye talent pe yakeen na ki koi shekhi
Youtube aur viewers main aapka abhaari hu
Payaar aapka tabhi sab pe bhaari hu
Na main fake na fenku bas itna farak
Maa ki aankhon ka hoon taara
Jo raha hai chamak

[Chorus: Ikka]
Jo thi pehle nafrate
Jo thi pehle gaaliya
Aaj wo hain tareefe
Aaj wahi taaliya
Maine ki hai mehnat
Jo dekha maine paa liya
Youtube ke through naya
Parivar hai bana liya

[Narration 2: Amit Bhadana]
Pitaji aaj aap jaha par bhi ho
Mujhe pata hai aap mujhe dekh rehe ho
Tabhi aapka ashirbad aur payaar mere sath hai
Mummy aap mere sar ka taj hai
Daadi aur chacha ko bhi aaj mujhpe naaj hai
Dosto tumhari bhaabhi bhi mere paas hai
Ye gaana un sabhi ke liye
Jinhone mujhe bahut kuchh sikhaya
Aur aaj kya se kya banaya
Mere sabhi chahne walo ko
Dil se shukriya aur payaar
Na chahne walon ko bhi bahut saara payaar
Aapka apna amit bhadana